sultani
Interesting Fact
written in Bhopal (Islam aur Musalman) (Zarb-e-Kalim)
kise ḳhabar ki hazāroñ maqām rakhtā hai
vo faqr jis meñ hai be-parda rūh-e-qurānī
ḳhudī ko jab nazar aatī hai qāhirī apnī
yahī maqām hai kahte haiñ jis ko sultānī
yahī maqām hai momin kī quvvatoñ kā 'iyār
isī maqām se aadam hai zill-e-sub.hānī
ye jabr-o-qahr nahīñ hai ye 'ishq-o-mastī hai
ki jabr-o-qahr se mumkin nahīñ jahāñbānī
kiyā gayā hai ġhulāmī meñ mubtalā tujh ko
ki tujh se ho na sakī faqr kī nigahbānī
misāl-e-māh chamaktā thā jis kā dāġh-e-sujūd
ḳharīd lī hai farañgī ne vo musalmānī
huā harīf mah-o-āftāb tū jis se
rahī na tere sitāroñ meñ vo daraḳhshānī
kise KHabar ki hazaron maqam rakhta hai
wo faqr jis mein hai be-parda ruh-e-qurani
KHudi ko jab nazar aati hai qahiri apni
yahi maqam hai kahte hain jis ko sultani
yahi maqam hai momin ki quwwaton ka 'iyar
isi maqam se aadam hai zill-e-subhani
ye jabr-o-qahr nahin hai ye 'ishq-o-masti hai
ki jabr-o-qahr se mumkin nahin jahanbani
kiya gaya hai ghulami mein mubtala tujh ko
ki tujh se ho na saki faqr ki nigahbani
misal-e-mah chamakta tha jis ka dagh-e-sujud
KHarid li hai farangi ne wo musalmani
hua harif mah-o-aftab tu jis se
rahi na tere sitaron mein wo daraKHshani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.