sunken garden
Interesting Fact
(ایک منظر دیکھنے کے بعد)
mausam-e-gul hai
daraḳhtoñ kī harī shāḳhoñ se kitne hī shagūfe khil rahe haiñ
jin ke sāyoñ meñ
ka.ī nau-‘umr laḌke
be-sabab ik dūsre se mil rahe haiñ
kuchh zarā se fāsle par
ek puḳhta 'umr kī 'aurat
barahna peḌ ke nīche se patte chun rahī hai
ik purānā giit sā gaate hue
sar dhun rahī hai
ek niile bench par baiThā huā maiñ
ye nazāra dekhne meñ mahv huuñ
aur sarsarāte ḳhushk pattoñ kī sadā.eñ sun rahā huuñ
be-sabab sar dhun rahā
mausam-e-gul hai
daraKHton ki hari shaKHon se kitne hi shagufe khil rahe hain
jin ke sayon mein
kai nau-‘umr laDke
be-sabab ek dusre se mil rahe hain
kuchh zara se fasle par
ek puKHta 'umr ki 'aurat
barahna peD ke niche se patte chun rahi hai
ek purana git sa gate hue
sar dhun rahi hai
ek nile bench par baiTha hua main
ye nazara dekhne mein mahw hun
aur sarsaraate KHushk patton ki sadaen sun raha hun
be-sabab sar dhun raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.