Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suno

MORE BYMansoora Ahmad

    suno

    jin hañsī se is zamīñ par phuul khilte hoñ

    jinheñ naġhme pe itnī dastaras ho

    ki panchhī in lai par chahchahāte hoñ

    unheñ to is tarah chup-chāp ho jaanā nahīñ sajtā

    suno

    saarī zamīñ gambhīr chup oḌhe hue sākit khaḌī hai

    tum utnī karo ik baar hañs do

    zamīñ munjamid sāñsoñ meñ

    phir se zindagī chalne lagegī

    pahle din se lohe ke juute pahnāo

    yahī huā aur hotā aayā

    sab ne dekhā

    surḳh sajīle chehroñ vaalī

    aur gadrā.e jismoñ vaalī doshīzā.eñ

    āñgan dīvār pakaḌ kar chal paatī thiiñ

    soch rahī huuñ

    sadiyāñ kaise itnā pīchhe lauT aa.ī haiñ

    chiin sarhad kaise mere ghar āñgan tak aa pahuñchī hai

    lohe ke jūtoñ meñ jakḌe mere paañv

    āñgan dahlīz alāñg ke

    apnī duniyā tak jaane se inkārī haiñ

    suno

    jin ki hansi se is zamin par phul khilte hon

    jinhen naghme pe itni dastaras ho

    ki panchhi in ki lai par chahchahate hon

    unhen to is tarah chup-chap ho jaana nahin sajta

    suno

    sari zamin gambhir chup oDhe hue sakit khaDi hai

    tum utni hi karo ek bar hans do

    zamin ki munjamid sanson mein

    phir se zindagi chalne lagegi

    pahle din se lohe ke jute pahnao

    yahi hua aur hota aaya

    sab ne dekha

    surKH sajile chehron wali

    aur gadrae jismon wali doshizaen

    aangan ki diwar pakaD kar chal pati thin

    soch rahi hun

    sadiyan kaise itna pichhe lauT aai hain

    chin ki sarhad kaise mere ghar aangan tak aa pahunchi hai

    lohe ke juton mein jakDe mere panw

    aangan ki dahliz alang ke

    apni duniya tak jaane se inkari hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now