Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

surKH sitara

Amir Usmani

surKH sitara

Amir Usmani

MORE BYAmir Usmani

    tum samajhte ho ye shab aap Dhal jā.egī

    ḳhud ubhregā na.ī sub.h zarrīñ parcham

    maiñ samajhtā huuñ kisī sub.h-e-daraḳhshāñ ke evaz

    qahr ek na.ī raat ko degī ye janam

    aur us raat tārīkī meñ kho jā.eñge

    maktab o ḳhānqah o dair o kalīsā o haram

    dev-e-zulmāt Thokar se na pā.eñge panāh

    ye shivāle, ye masājid, ye pujārī, ye sanam

    rakh diye jā.eñge shamshīr ke zer-e-sāya

    dast-e-mātam lab-e-fariyād, zabān o tanqīd

    barf jam jā.egī afkār ke gulzāroñ par

    yaḳh havāoñ meñ jam jā.egī kisht-e-ummīd

    chāñdnī zulmat-e-sayyāl meñ Dhal jā.egī

    raat maañg sañvāregī shuā-e-ummīd

    ahl-e-fan deñge añdheroñ ko ujāloñ laqab

    zahr ko qand, moharram ko kahā jā.egā iid

    ye mirā vahm nahīñ, novel o afsāna nahīñ

    dosto! ġhaur karo, aur nigāheñ to uThāo

    vo jo ik surḳh sitāra hai ufuq ke nazdīk

    kuchh tumheñ ilm hai kis ruḳh pe hai us phailāo

    kaash tum us haqīqat pe nazar Daal sako

    hai ye ik ātish-e-sad-barq-badāmāñ alaav

    is kirnoñ meñ hai chaltī huī talvār kaaT

    is surḳhī meñ hai umDe hue dariyā bahāv

    is ke dāman meñ hai āsūda vo fitna jis se

    jism to jism mayassar nahīñ rūhoñ ko amaañ

    dil, nazar, zehn, ḳhayālāt, usuul o aqdār

    sab ke sab is tag-o-tāz se larzāñ tarsāñ

    is parchhā.īñ bhī paḌ jaa.e to sabza jal jaa.e

    dekhte dekhte māhaul pe chhā jaa.e dhuāñ

    is ke sho.aloñ to kyā zikr ki sho.ale Thahre

    is shabnam bhī gulistāñ ke liye barq-e-tapāñ

    tum samajhte ho ye shab aap hi Dhal jaegi

    KHud hi ubhrega nai subh ka zarrin parcham

    main samajhta hun kisi subh-e-daraKHshan ke ewaz

    qahr ki ek nai raat ko degi ye janam

    aur us raat ki tariki mein kho jaenge

    maktab o KHanqah o dair o kalisa o haram

    dew-e-zulmat ki Thokar se na paenge panah

    ye shiwale, ye masajid, ye pujari, ye sanam

    rakh diye jaenge shamshir ke zer-e-saya

    dast-e-matam lab-e-fariyaad, zaban o tanqid

    barf jam jaegi afkar ke gulzaron par

    yaKH hawaon mein hi jam jaegi kisht-e-ummid

    chandni zulmat-e-sayyal mein Dhal jaegi

    raat ki mang sanwaregi shua-e-ummid

    ahl-e-fan denge andheron ko ujalon ka laqab

    zahr ko qand, moharram ko kaha jaega id

    ye mera wahm nahin, nowel o afsana nahin

    dosto! ghaur karo, aur nigahen to uThao

    wo jo ek surKH sitara hai ufuq ke nazdik

    kuchh tumhein ilm hai kis ruKH pe hai us ka phailao

    kash tum us ki haqiqat pe nazar Dal sako

    hai ye ek aatish-e-sad-barq-badaman ka alaw

    is ki kirnon mein hai chalti hui talwar ki kaT

    is ki surKHi mein hai umDe hue dariya ka bahaw

    is ke daman mein hai aasuda wo fitna jis se

    jism to jism mayassar nahin ruhon ko aman

    dil, nazar, zehn, KHayalat, usul o aqdar

    sab ke sab is ki tag-o-taz se larzan tarsan

    is ki parchhain bhi paD jae to sabza jal jae

    dekhte dekhte mahaul pe chha jae dhuan

    is ke shoalon ka to kya zikr ki shoale Thahre

    is ki shabnam bhi gulistan ke liye barq-e-tapan

    Source :
    • Book : Ye Qadam Qadam Balaen (Pg. 107)
    • Author : Maulana Amir Usmani
    • Edition : 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now