surud-e-halal
Interesting Fact
(Adabiyat Funuun-e-Latifa) (Zarb-e-Kalim)
khul to jaatā hai muġhannī ke bam-o-zer se dil
na rahā zinda-o-pā.inda to kyā dil kī kushūd
hai abhī sīna-e-aflāk meñ pinhāñ vo navā
jis kī garmī se pighal jaa.e sitāroñ kā vujūd
jis kī tāsīr se aadam ho ġham-o-Hauf se paak
aur paidā ho ayāzī se maqām-e-mahmūd
mah-o-anjum kā ye hairat-kada baaqī na rahe
tū rahe aur tirā zamzama-e-lā-maujūd
jis ko mashrūa samajhte haiñ faqīhān-e-ḳhudī
muntazir hai kisī mutrib kā abhī tak vo surūd
khul to jata hai mughanni ke bam-o-zer se dil
na raha zinda-o-painda to kya dil ki kushud
hai abhi sina-e-aflak mein pinhan wo nawa
jis ki garmi se pighal jae sitaron ka wujud
jis ki tasir se aadam ho gham-o-Hauf se pak
aur paida ho ayazi se maqam-e-mahmud
mah-o-anjum ka ye hairat-kada baqi na rahe
tu rahe aur tera zamzama-e-la-maujud
jis ko mashrua samajhte hain faqihan-e-KHudi
muntazir hai kisi mutrib ka abhi tak wo surud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.