Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suraj chand sitare

Mohammad Asadullah

suraj chand sitare

Mohammad Asadullah

MORE BYMohammad Asadullah

    sūraj chāñd sitāre ik din dhartī par aa jaa.eñ

    dekh ke un ko duniyā vaale saare chakrā jaa.eñ

    din niklā raat huī hai koī samajh na paa.e

    vaqt taal pe chaltī saarī ghaḌiyāñ tham jaa.eñ

    garmī sardī bārish sab hairāñ aur pareshāñ

    bhiiḌ meñ jaise aapas meñ kuchh careñ Takrā jaa.eñ

    aa kar ik din is dhartī par kheleñ āñkh-micholī

    chaaT kachaurī halva puurī phalī daane khā.eñ

    ka.ī sitāroñ ik jhurmuT geñd uThā kar bhāge

    kuchh dariyā jānib nikleñ aur kuchh patang uḌā.eñ

    jagmag chāñd sitāroñ se ye āñgan merā damke

    merī ghar chhat hai hāzir kheleñ dhuum machā.eñ

    ġham aur māyūsī ke añdhiyāroñ meñ kaise chamkeñ

    chāñd sitāre ghar ghar kar logoñ ko samjhā.eñ

    is dhartī ghanā añdherā ik din un se TuuTe

    sūraj chāñd sitāre ik din dhartī par aa jaa.eñ

    suraj chand sitare ek din dharti par aa jaen

    dekh ke un ko duniya wale sare chakra jaen

    din nikla ya raat hui hai koi samajh na pae

    waqt ki tal pe chalti sari ghaDiyan tham si jaen

    garmi sardi barish sab hi hairan aur pareshan

    bhiD mein jaise aapas mein kuchh caren Takra jaen

    aa kar ek din is dharti par khelen aankh-micholi

    chaT kachauri halwa puri phali dane khaen

    kai sitaron ka ek jhurmuT gend uTha kar bhage

    kuchh dariya ki jaanib niklen aur kuchh patang uDaen

    jagmag chand sitaron se ye aangan mera damke

    meri ghar ki chhat hai hazir khelen dhum machaen

    gham aur mayusi ke andhiyaron mein kaise chamken

    chand sitare ghar ghar ja kar logon ko samjhaen

    is dharti ka ghana andhera ek din un se TuTe

    suraj chand sitare ek din dharti par aa jaen

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now