Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suraj

MORE BYMurtaza Sahil Tasleemi

    mirā kaam hai pyāre bachchoñ nirālā

    mire dam se hotā hai har ujālā

    sahar meñ jo masjid se aate ho tum ghar

    numūdār hotā huuñ tab maiñ ufuq par

    safar merā mashriq se maġhrib talak hai

    sadā se guzargāh merī falak hai

    nazar raat meñ tum ko aatā nahīñ huuñ

    magar phir bhī duniyā se jaatā nahīñ huuñ

    mire dam se chāñd meñ raushnī hai

    mire dam se chāñd meñ dilkashī hai

    tumhāre liye niiñd bhī lāzmī hai

    zarūrat magar niiñd ko raat hai

    yūñhī shab meñ duur hotā huuñ tum se

    yūñhī shab meñ mastūr hotā huuñ tum se

    hai insāñ ko hājat mirī raat ko bhī

    zarūrat hai merī nabātāt ko bhī

    ba-hukm-e-ḳhudā mujh se raushnī hai

    añdhere se 'sāhil' mirī dushmanī hai

    mera kaam hai pyare bachchon nirala

    mere dam se hota hai har su ujala

    sahar mein jo masjid se aate ho tum ghar

    numudar hota hun tab main ufuq par

    safar mera mashriq se maghrib talak hai

    sada se guzargah meri falak hai

    nazar raat mein tum ko aata nahin hun

    magar phir bhi duniya se jata nahin hun

    mere dam se hi chand mein raushni hai

    mere dam se hi chand mein dilkashi hai

    tumhaare liye nind bhi lazmi hai

    zarurat magar nind ko raat ki hai

    yunhi shab mein dur hota hun tum se

    yunhi shab mein mastur hota hun tum se

    hai insan ko hajat meri raat ko bhi

    zarurat hai meri nabaatat ko bhi

    ba-hukm-e-KHuda mujh se hi raushni hai

    andhere se 'sahil' meri dushmani hai

    Source:

    Phool Aur Kaliyan (Pg. 51)

    • Author: Murtaza Sahil Tasleemi
      • Publisher: Murtaza Sahil Tasleemi
      • Year of Publication: 2003

    related content

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now