ta’mir-e-zat
hamārī lāDlī nāzuk sī guḌiyā
bahut pyārī sī vo chhoTī sī chiḌiyā
suhāne giit gaatī hai
so saare ġham bhulātī hai
hamāre dil lubhātī hai
jise chhū kar ki jis ke lams ko pā kar
hamārī uñgliyāñ
sarsabz aur ḳhush bantī rahī haiñ
jise pā kar hayāt-e-be-navā apnī
kisī maqsad kī ab tafsīr hotī jā rahī hai
luTe ḳhvāboñ kī ab tā'bīr hotī jā rahī hai
vajūd-e-zāt meñ tā'mīr hotī jā rahī hai
hamari laDli nazuk si guDiya
bahut pyari si wo chhoTi si chiDiya
suhane git gati hai
so sare gham bhulati hai
hamare dil lubhati hai
jise chhu kar ki jis ke lams ko pa kar
hamari ungliyan
sarsabz aur KHush banti rahi hain
jise pa kar hayat-e-be-nawa apni
kisi maqsad ki ab tafsir hoti ja rahi hai
luTe KHwabon ki ab ta'bir hoti ja rahi hai
wajud-e-zat mein ta'mir hoti ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.