aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taaqub apne ham-zad ka

Perwaiz Shaharyar

taaqub apne ham-zad ka

Perwaiz Shaharyar

MORE BYPerwaiz Shaharyar

    chhoḌ aayā huuñ maiñ apnā chhoTā ghar

    ta.āqub kartā hai vo ab merā umr bhar

    jañgal kināre parbatoñ ke tale

    harī-bharī vādiyoñ meñ

    jahāñ bahte the barsātī parnāle

    chhoḌ aayā huuñ maiñ apnā chhoTā ghar

    had-e-nigāh tak vo ḳhushnumā manzar

    bādaloñ oT se pahāḌī nazāre

    bijlī chamak bādal garaj

    kabhī chhat Tapaktī thī to kabhī hiltī thiiñ dīvāreñ

    kitāb copiyoñ ko siine meñ chhupānā

    sard havā ke jhoñkoñ se charāġh TimTimānā

    vo terā ma.asūm chehra

    vo terā bhīgī palkoñ se muskurānā

    vo āzmā.ish kaalī rāteñ vo imtihānoñ Dar

    chhoḌ aayā huuñ maiñ apnā chhoTā ghar

    hāfize meñ dafn hai jis ab bhī vo manzar

    maTmailī thiiñ jis dīvāreñ

    surḳh thā jis chhappar

    jañgle kamzor salāḳhoñ se

    āñkhoñ meñ aañsū liye

    ek laḌkā dekhā kartā thā

    qaumī shāh-rāh manzar

    jahāñ se dīvāna-vār basoñ aur trakoñ kārvāñ

    bhāgtā dauḌtā rahtā thā baḌe shahroñ samt

    haañ baḌe shahroñ samt

    jin ḳhud lāpata thiiñ samteñ!!

    aaj chālīs saal ba.ad vo laḌkā sochtā hai

    baḌā shahr sarāb hai sunahrī hiran ḳhvāb hai

    baḌe shahr chaah meñ dauḌte dauḌte

    vo be-samt be-manzar be-ghar ho gayā hai

    lekin phir kabhī kabhī use ehsās hotā hai

    us bhī apnī asaas hai

    us suhāna manzar is ke paas hai

    us bhī apnā ghar hai

    vo chhoTā ghar vo maTmailī dīvāreñ

    vo surḳh chhappar

    jahāñ āshnā nigāheñ

    jahāñ mohabbat-āmez bāheñ

    aaj bhī us intizār kar rahī haiñ

    is shahr ko chhoḌ kar ik din vo chalā jā.egā

    vahāñ se phir kabhī kahīñ bhī nahīñ jā.egā

    chhoD aaya hun main apna chhoTa sa ghar

    taaqub karta hai wo ab mera umr bhar

    jangal kinare parbaton ke tale

    hari-bhari wadiyon mein

    jahan bahte the barsati parnale

    chhoD aaya hun main apna chhoTa sa ghar

    had-e-nigah tak wo KHushnuma manzar

    baadalon ki oT se pahaDi nazare

    bijli ki chamak baadal ki garaj

    kabhi chhat Tapakti thi to kabhi hilti thin diwaren

    kitab copiyon ko sine mein chhupana

    sard hawa ke jhonkon se charagh ka TimTimana

    wo tera masum chehra

    wo tera bhigi palkon se muskurana

    wo aazmaish ki kali raaten wo imtihanon ka Dar

    chhoD aaya hun main apna chhoTa sa ghar

    hafize mein dafn hai jis ka ab bhi wo manzar

    maTmaili si thin jis ki diwaren

    surKH tha jis ka chhappar

    jangle ki kamzor salaKHon se

    aankhon mein aansu liye

    ek laDka dekha karta tha

    qaumi shah-rah ka manzar

    jahan se diwana-war bason aur trakon ka karwan

    bhagta dauDta rahta tha baDe shahron ki samt

    han baDe shahron ki samt

    jin ki KHud lapata thin samten!!

    aaj chaalis sal baad wo laDka sochta hai

    baDa shahr sarab hai sunahri hiran ka KHwab hai

    baDe shahr ki chah mein dauDte dauDte

    wo be-samt be-manzar be-ghar ho gaya hai

    lekin phir kabhi kabhi use ehsas hota hai

    us ki bhi apni asas hai

    us ka suhana manzar is ke pas hai

    us ka bhi apna ghar hai

    wo chhoTa sa ghar wo maTmaili diwaren

    wo surKH chhappar

    jahan aashna nigahen

    jahan mohabbat-amez bahen

    aaj bhi us ka intizar kar rahi hain

    is shahr ko chhoD kar ek din wo chala jaega

    wahan se phir kabhi kahin bhi nahin jaega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now