Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taaruf

Translated By: Rukhsana Ahmad

Ishrat Afreen

Ishrat Afreen

taaruf

Ishrat Afreen

MORE BYIshrat Afreen

    mirā ta.āruf

    are na pūchho

    purāne zaḳhmoñ ko mat kuredo

    mirā ta.āruf jo tum samajhte ho vo nahīñ hai

    Introduction

    maiñ apnī galiyoñ dhuul meñ khel kar baḌhī huuñ

    maiñ ḳhvāb umr meñ bhī hālāt se laḌī huuñ

    maiñ apne aabā qabr par khilne vaalī vo ḳhushnumā kalī huuñ

    jo apne hone ke jurm meñ

    har sazā ko hañs hañs ke kāTtī hai

    Who am I

    Don't scratch old wounds

    Who am I

    Not what you think I am.

    I have grown up playing in the dust of my alleyways

    I learnt to fight for myself at an age when others

    dream dreams

    mirā ta.āruf to kuchh nahīñ hai

    mirā ta.āruf to bas vahī hai

    jo mujh se pahle aziim 'ġhālib' 'mīr' thā

    vo 'mīr' jis ko ḳhudā-e-sher-o-suḳhan rutba atā huā thā

    magar gadā tarah marā thā

    aziim 'ġhālib' jo mai ḳhairāt māñgtā thā

    I am that winsome bud which blooms on my

    forefathers' graves

    And must smilingly endure every punishment merely

    because it exists

    I have no name.

    Call me by the name

    Of the Great Ghalib* who came before me

    By the name of Mir

    Mir, who was hailed as the god of Poetics and verse

    But who died in poverty

    The Great Ghalib

    Who had to beg for his wine.

    mera taaruf

    are na puchho

    purane zaKHmon ko mat kuredo

    mera taaruf jo tum samajhte ho wo nahin hai

    Introduction

    main apni galiyon ki dhul mein khel kar baDhi hun

    main KHwab ki umr mein bhi haalat se laDi hun

    main apne aaba ki qabr par khilne wali wo KHushnuma kali hun

    jo apne hone ke jurm mein

    har saza ko hans hans ke kaTti hai

    Who am I

    Don't scratch old wounds

    Who am I

    Not what you think I am.

    I have grown up playing in the dust of my alleyways

    I learnt to fight for myself at an age when others

    dream dreams

    mera taaruf to kuchh nahin hai

    mera taaruf to bas wahi hai

    jo mujh se pahle azim 'ghaalib' ka 'mir' ka tha

    wo 'mir' jis ko KHuda-e-sher-o-suKHan ka rutba ata hua tha

    magar gada ki tarah mara tha

    azim 'ghaalib' jo mai ki KHairaat mangta tha

    I am that winsome bud which blooms on my

    forefathers' graves

    And must smilingly endure every punishment merely

    because it exists

    I have no name.

    Call me by the name

    Of the Great Ghalib* who came before me

    By the name of Mir

    Mir, who was hailed as the god of Poetics and verse

    But who died in poverty

    The Great Ghalib

    Who had to beg for his wine.

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now