taj-mahal banaenge
chāñd sitāroñ kī duniyā meñ ik din ham bhī jā.eñge
nannhī-munnī pyaar kī duniyā mil kar vahāñ basā.eñge
sone chāñdī kī īñToñ ko DhūñD ke lā.eñge tāj-mahal banvā.eñge
chandā-māmā kī nagrī meñ phuul kahāñ se aa.egā
raunaq apne tāj-mahal kī āḳhir kaun baḌhā.egā
apne des se ham phūloñ ko chun-chun kar le jā.eñge tāj-mahal banvā.eñge
des meñ chandā ke milte haiñ ai ammī kyā ye bhī phal
jāmun kelā aam sapāTū nārañgī kaT.hal barhal
milte haiñ to kah do varna āḳhir ham kyā khā.eñge tāj-mahal banvā.eñge
paanī to mil hī jā.egā us kī koī fikr nahīñ
hogā us pyārī duniyā meñ bādal kā bhī des kahīñ
khod ke nahreñ bādal hī ko us meñ lā baiThā.eñge tāj-mahal banvā.eñge
sub.h-savere koyal koī giit vahāñ bhī gaatī hai
phūloñ kī Daalī pe chiḌiyā baiTh ke phir uḌ jaatī hai
jab ye chiiz nahīñ to āḳhir lutf vahāñ kyā pā.eñge tāj-mahal banvā.eñge
apne des kī pyārī chīzoñ kā milnā jab mushkil hai
des meñ chandā ke jo jaa.e samjho us ko jāhil hai
chhoḌ ke saarī duniyā ko ham apnā des basā.eñge tāj-mahal banvā.eñge
chand sitaron ki duniya mein ek din hum bhi jaenge
nannhi-munni pyar ki duniya mil kar wahan basaenge
sone chandi ki inTon ko DhunD ke laenge taj-mahal banwaenge
chanda-mama ki nagri mein phul kahan se aaega
raunaq apne taj-mahal ki aaKHir kaun baDhaega
apne des se hum phulon ko chun-chun kar le jaenge taj-mahal banwaenge
des mein chanda ke milte hain ai ammi kya ye bhi phal
jamun kela aam sapaTu narangi kaThal barhal
milte hain to kah do warna aaKHir hum kya khaenge taj-mahal banwaenge
pani to mil hi jaega us ki koi fikr nahin
hoga us pyari duniya mein baadal ka bhi des kahin
khod ke nahren baadal hi ko us mein la baiThaenge taj-mahal banwaenge
subh-sawere koyal koi git wahan bhi gati hai
phulon ki Dali pe chiDiya baiTh ke phir uD jati hai
jab ye chiz nahin to aaKHir lutf wahan kya paenge taj-mahal banwaenge
apne des ki pyari chizon ka milna jab mushkil hai
des mein chanda ke jo jae samjho us ko jahil hai
chhoD ke sari duniya ko hum apna des basaenge taj-mahal banwaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.