Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

talluq

Humaira Rahat

talluq

Humaira Rahat

MORE BYHumaira Rahat

    ta.alluq kāñch bartan nahīñ

    hāthoñ se chhūTe aur chaknā-chūr ho jaa.e

    ta.alluq āhanī dīvār hotā hai

    ta.alluq āsmānoñ par

    chamaktā ik sitāra bhī nahīñ jo raat bhar chamke

    magar jaise sūraj apnī kirnoñ ko

    zamīñ par phailne hukm de to

    vo kahīñ rū-posh ho jaa.e

    ta.alluq āsmāñ hai

    ta.alluq mausamoñ husn kab hai

    jo sadā baaqī nahīñ rahtā

    ta.alluq to havā hai

    aur zamānat hai hamārī zindagī

    ta.alluq ahd kab hai jo nibhātā nahīñ koī

    hamesha TuuT jaatā hai

    ta.alluq ishq hai

    ehsās hai ḳhushbū hai jaadū hai

    ta.alluq vaqt sūrat hamesha chaltā rahtā hai

    ta.alluq saañs ke mānind hotā hai

    ta.alluq toḌne vaalo tumheñ mālūm hai

    sachchā ta.alluq ḳhatm ho saktā hai

    lekin mar nahīñ saktā

    talluq kanch ka bartan nahin

    hathon se chhuTe aur chakna-chur ho jae

    talluq aahani diwar hota hai

    talluq aasmanon par

    chamakta ek sitara bhi nahin jo raat bhar chamke

    magar jaise hi suraj apni kirnon ko

    zamin par phailne ka hukm de to

    wo kahin ru-posh ho jae

    talluq aasman hai

    talluq mausamon ka husn kab hai

    jo sada baqi nahin rahta

    talluq to hawa hai

    aur zamanat hai hamari zindagi ki

    talluq ahd kab hai jo nibhata hi nahin koi

    hamesha TuT jata hai

    talluq ishq hai

    ehsas hai KHushbu hai jadu hai

    talluq waqt ki surat hamesha chalta rahta hai

    talluq sans ke manind hota hai

    talluq toDne walo tumhein malum hai

    sachcha talluq KHatm ho sakta hai

    lekin mar nahin sakta

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now