Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tare

MORE BYSufi Tabassum

    raat aa.ī aur jaage taare

    nanhe munne chhoTe chhoTe

    aa baiThe haiñ mil kar saare

    raat aa.ī aur jaage taare

    dekho kaise chamak rahe haiñ

    goyā motī damak rahe haiñ

    kitne achchhe kitne pyāre

    raat aa.ī aur jaage taare

    thak jaate haiñ chalte chalte

    āḳhir āñkheñ malte malte

    so jaate haiñ niiñd ke maare

    raat aa.ī aur jaage taare

    chupke chupke hañste rahnā

    sab kuchh āñkhoñ meñ kahnā

    saare un ke kaam haiñ nyāre

    raat aa.ī aur jaage taare

    chaar nahīñ haiñ aaTh nahīñ haiñ

    biis nahīñ haiñ saaTh nahīñ haiñ

    lākhoñ haiñ ye dost hamāre

    raat aa.ī aur jaage taare

    in se khele bahlā.e

    koī chupke se so jaa.e

    kaise koī raat guzāre

    raat aa.ī aur jaage taare

    koī in ke bhed na paa.e

    baat kareñ āvāz na aa.e

    chupke chupke kareñ ishāre

    raat aa.ī aur jaage taare

    laakh pukāro laakh bulāo

    laakh kaho tum aao aao

    kabhī na aa.eñ paas tumhāre

    raat aa.ī aur jaage taare

    raat aai aur jage tare

    nanhe munne chhoTe chhoTe

    aa baiThe hain mil kar sare

    raat aai aur jage tare

    dekho kaise chamak rahe hain

    goya moti damak rahe hain

    kitne achchhe kitne pyare

    raat aai aur jage tare

    thak jate hain chalte chalte

    aaKHir aankhen malte malte

    so jate hain nind ke mare

    raat aai aur jage tare

    chupke chupke hanste rahna

    sab kuchh aankhon hi mein kahna

    sare un ke kaam hain nyare

    raat aai aur jage tare

    chaar nahin hain aaTh nahin hain

    bis nahin hain saTh nahin hain

    lakhon hain ye dost hamare

    raat aai aur jage tare

    in se khele ji bahlae

    ya koi chupke se so jae

    kaise koi raat guzare

    raat aai aur jage tare

    koi in ke bhed na pae

    baat karen aawaz na aae

    chupke chupke karen ishaare

    raat aai aur jage tare

    lakh pukaro lakh bulao

    lakh kaho tum aao aao

    kabhi na aaen pas tumhaare

    raat aai aur jage tare

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now