taron se
nanhe nanhe pyāre pyāre
cham-cham Tim-Tim nyāre nyāre
halke phulke nuur ke dhāre
niil gagan ke raaj dulāre
jagmag jagmag jagmag taare
aa jaao tum ghar jo hamāre
tum ho hamāre ham hoñ tumhāre
aao aao chhat par aao
aa na sako to haath baḌhāo
duudh malīda khaao khilāo
din meñ kahāñ chhupte ho batāo
jagmag jagmag jagmag taare
aa jaao tum ghar jo hamāre
tum ho hamāre ham hoñ tumhāre
kone meñ vo merī chhaḌī hai
aur ye das paise kī ghaḌī hai
geñd hamārī kitnī baḌī hai
khelne ko har chiiz paḌī hai
jagmag jagmag jagmag taare
aa jaao tum ghar jo hamāre
tum ho hamāre ham hoñ tumhāre
maiñ huuñ paḌā ḳhaak ke ghar meñ
tum ho base ākāsh nagar meñ
laakh ho duurī biich Dagar meñ
kuchh bhī nahīñ vo merī nazar meñ
jagmag jagmag jagmag taare
aa jaao tum ghar jo hamāre
tum ho hamāre ham hoñ tumhāre
raat meñ kyoñ aate ho
din meñ kahāñ chhup jaate ho
apne ghar kyā kyā khāte ho
nuur kahāñ se paate ho
jagmag jagmag jagmag taare
aa jaao tum ghar jo hamāre
tum ho hamāre ham hoñ tumhāre
tum ko hogī ma.alūmāt
mujh ko batā do itnī baat
kyā hai din aur kyā hai raat
jaaḌā garmī aur barsāt
jagmag jagmag jagmag taare
aa jaao tum ghar jo hamāre
tum ho hamāre ham hoñ tumhāre
nanhe nanhe pyare pyare
cham-cham Tim-Tim nyare nyare
halke phulke nur ke dhaare
nil gagan ke raj dulare
jagmag jagmag jagmag tare
aa jao tum ghar jo hamare
tum ho hamare hum hon tumhaare
aao aao chhat par aao
aa na sako to hath baDhao
dudh malida khao khilao
din mein kahan chhupte ho batao
jagmag jagmag jagmag tare
aa jao tum ghar jo hamare
tum ho hamare hum hon tumhaare
kone mein wo meri chhaDi hai
aur ye das paise ki ghaDi hai
gend hamari kitni baDi hai
khelne ko har chiz paDi hai
jagmag jagmag jagmag tare
aa jao tum ghar jo hamare
tum ho hamare hum hon tumhaare
main hun paDa KHak ke ghar mein
tum ho base aakash nagar mein
lakh ho duri bich Dagar mein
kuchh bhi nahin wo meri nazar mein
jagmag jagmag jagmag tare
aa jao tum ghar jo hamare
tum ho hamare hum hon tumhaare
raat mein kyon aate ho
din mein kahan chhup jate ho
apne ghar kya kya khate ho
nur kahan se pate ho
jagmag jagmag jagmag tare
aa jao tum ghar jo hamare
tum ho hamare hum hon tumhaare
tum ko hogi malumat
mujh ko bata do itni baat
kya hai din aur kya hai raat
jaDa garmi aur barsat
jagmag jagmag jagmag tare
aa jao tum ghar jo hamare
tum ho hamare hum hon tumhaare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.