Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tatilat

Khalid Irfan

tatilat

Khalid Irfan

MORE BYKhalid Irfan

    baḌoñ ko aur chhoToñ ko inhīñ sadmāt ne maarā

    mujhe daftar unheñ college ta.atīlāt ne maarā

    kabhī sardī chhuTTī hai kabhī garmī chhuTTī hai

    ye sab us ke alāva haiñ jo haT-dharmī chhuTTī hai

    kabhī ta.atīl khāne kabhī ta.atīl piine

    paḌhā.ī do mahīne chhuTTiyāñ haiñ das mahīne

    abhī parsoñ to hai rañgīnī-e-hālāt chhuTTī

    phir us ke ba.ad puure maah hai barsāt chhuTTī

    kabhī schōl meñ ustād ke sar-dard chhuTTī

    havā-e-sard chal jaa.e to phir har fard chhuTTī

    kabhī afsar ko thoḌā buḳhār aa jaa.e to chhuTTī

    kabhī sasurāl se begam taar aa jaa.e to chhuTTī

    kabhī Table pe rakh ke paañv so jaanā bhī chhuTTī hai

    kabhī daftar se uTh kar gol ho jaanā bhī chhuTTī hai

    abhī to dard ke āsār kuchh baaqī haiñ siine meñ

    abhī to biis nāġhe hue haiñ is mahīne meñ

    ġharaz jo tīn-sau-paiñsaTh dinoñ ke goshvāre haiñ

    hamāre tīn-sau din haiñ faqat paiñsaTh tumhāre haiñ

    baDon ko aur chhoTon ko inhin sadmat ne mara

    mujhe daftar unhen college ki tatilat ne mara

    kabhi sardi ki chhuTTi hai kabhi garmi ki chhuTTi hai

    ye sab us ke alawa hain jo haT-dharmi ki chhuTTi hai

    kabhi tatil khane ki kabhi tatil pine ki

    paDhai do mahine chhuTTiyan hain das mahine ki

    abhi parson to hai rangini-e-haalat ki chhuTTi

    phir us ke baad pure mah hai barsat ki chhuTTi

    kabhi school mein ustad ke sar-dard ki chhuTTi

    hawa-e-sard chal jae to phir har fard ki chhuTTi

    kabhi afsar ko thoDa sa buKHar aa jae to chhuTTi

    kabhi sasural se begam ka tar aa jae to chhuTTi

    kabhi Table pe rakh ke panw so jaana bhi chhuTTi hai

    kabhi daftar se uTh kar gol ho jaana bhi chhuTTi hai

    abhi to dard ke aasar kuchh baqi hain sine mein

    abhi to bis hi naghe hue hain is mahine mein

    gharaz jo tin-sau-painsaTh dinon ke goshware hain

    hamare tin-sau din hain faqat painsaTh tumhaare hain

    Source:

    No Problem (Pg. 99)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now