Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tab hazaron andheron se

Ejaz Rahi

tab hazaron andheron se

Ejaz Rahi

MORE BYEjaz Rahi

    ik raushnī kiran phuuT kar

    sard vīrān kamre ke tārīk dīvār-o-dar se ulajhne lagī

    aur kamre meñ phirte hue

    saiñkaḌoñ zard zarre

    bilbilāte sisakte hue

    merī jānib baḌhe

    maiñ ne apnī shahādat uñglī uThā.ī

    zard zarroñ se goyā huā

    dosto

    aao baḌhte chaleñ

    raushnī tarah raushnī taraf

    raushnī jo hamārī tamannāoñ pyaas hai

    raushnī jo hamārī tamannāoñ aas hai

    zard zarre mere saath baḌhne lage

    raushnī taraf raushnī taraf

    chand zarre ki jin ragoñ meñ

    siyah raat zulmateñ bas chukī thiiñ

    merī bātoñ pe hañsne lage

    aur hañste rahe

    tab hazāroñ añdheroñ ke siine meñ

    phailā huā ik tilism

    raushnī tab-o-tāb se

    TūTne ke liye

    aur aage baḌhā

    ek raushni ki kiran phuT kar

    sard viran kamre ke tarik diwar-o-dar se ulajhne lagi

    aur kamre mein phirte hue

    sainkaDon zard zarre

    bilbilate sisakte hue

    meri jaanib baDhe

    main ne apni shahadat ki ungli uThai

    zard zarron se goya hua

    dosto

    aao baDhte chalen

    raushni ki tarah raushni ki taraf

    raushni jo hamari tamannaon ki pyas hai

    raushni jo hamari tamannaon ki aas hai

    zard zarre mere sath baDhne lage

    raushni ki taraf raushni ki taraf

    chand zarre ki jin ki ragon mein

    siyah raat ki zulmaten bas chuki thin

    meri baaton pe hansne lage

    aur hanste rahe

    tab hazaron andheron ke sine mein

    phaila hua ek tilism

    raushni ki tab-o-tab se

    TuTne ke liye

    aur aage baDha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now