Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tabassum

Amjad Najmi

tabassum

Amjad Najmi

MORE BYAmjad Najmi

    chamak hiire se baḌh kar ai tabassum tujh meñ pinhāñ hai

    unhīñ hoñToñ pe zau bikhrā jin hoñToñ ko shāyāñ hai

    misāl-e-barq girtā hai jān-e-nā-shakebā par

    girī thī jis tarah bijlī kalīm-e-tūr-e-sīnā par

    na hogā la.al koī terī qīmat badaḳhshāñ meñ

    ik misra-e-barjasta hai qudrat ke dīvāñ meñ

    jahāñ daulatoñ meñ koī bhī daulat nahīñ aisī

    falak par kab chamaktī hai sitāroñ jabīñ aisī

    ġham-e-duniyā shākī jab huā haq se dil-e-ādam

    tujhe de kar atā farmā diyā har zaḳhm marham

    huā jaatā hai pazhmurda dil-e-āvāra siine meñ

    to Tapkā qatra-e-āb-e-baqā is ābgīne meñ

    jhalak pal-bhar hai lekin asar hai dā.imī terā

    sar-e-gulzār dam bhartī hai goyā har kalī terā

    lab-e-jāñ-baḳhsh par kuchh kuchh numāyāñ ho ke rah phir

    adhūrī rah ga.ī hai dāstān-e-ishq kah phir

    chamak hire se baDh kar ai tabassum tujh mein pinhan hai

    unhin honTon pe zau bikhra tu jin honTon ko shayan hai

    misal-e-barq tu girta hai jaan-e-na-shakeba par

    giri thi jis tarah bijli kalim-e-tur-e-sina par

    na hoga lal koi teri qimat ka badaKHshan mein

    tu hi ek misra-e-barjasta hai qudrat ke diwan mein

    jahan ki daulaton mein koi bhi daulat nahin aisi

    falak par kab chamakti hai sitaron ki jabin aisi

    gham-e-duniya ka shaki jab hua haq se dil-e-adam

    tujhe de kar ata farma diya har zaKHm ka marham

    hua jata hai pazhmurda dil-e-awara sine mein

    to Tapka qatra-e-ab-e-baqa is aabgine mein

    jhalak pal-bhar ki hai lekin asar hai daimi tera

    sar-e-gulzar dam bharti hai goya har kali tera

    lab-e-jaan-baKHsh par kuchh kuchh numayan ho ke rah ja phir

    adhuri rah gai hai dastan-e-ishq kah ja phir

    Source:

    Joye Kahkashan (Pg. 92)

    • Author: Amjad Najmi
      • Edition: 1969
      • Publisher: Ddisha Sahitya Academy, Bhubaneswar
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now