Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tajdid-e-amal

Faiz Ludhianvi

tajdid-e-amal

Faiz Ludhianvi

MORE BYFaiz Ludhianvi

    uTh az-sar-e-nau dahr ke hālāt badal Daal

    tadbīr se taqdīr ke din-rāt badal Daal

    phir dars-e-musāvāt hājat hai jahāñ ko

    āqā.ī-o-ḳhidmat ke ḳhitābāt badal Daal

    kaalā ho ki gorā ho ḳhudā ek hai sab

    qaumiyyat-e-bejā rivāyāt badal Daal

    chīnī ho ki hindī ho barābar ke haiñ bhaa.ī

    vataniyyat-e-mahdūd ke vahmāt badal Daal

    kul chhoTe-baḌe ādam-e-ḳhākī ke haiñ farzand

    har nasl se bezār ho har zaat badal Daal

    aḳhlāq meñ tāqat hai fuzūñ teġh-o-sināñ se

    paikār ke ye āhanī ālāt badal Daal

    kyā zulm hai insān ho insān dushman

    mardān-e-havas-kār ādāt badal Daal

    mehnat se bhī mazdūr ko roTī nahīñ miltī

    is banda-e-majbūr ke auqāt badal Daal

    aapas meñ ye har roz ḳhūñ-reziyāñ kab tak

    ḳhud-sāḳhta maz.hab rusūmāt badal Daal

    hurriyat-e-kāmil vo e.ajāz dikhā

    duniyā-e-ġhulāmī ke tilismāt badal Daal

    ḳhilqat ko bulā shirk se tauhīd jānib

    pīroñ faqīroñ karāmāt badal Daal

    ta.alīm pe mauqūf hai rānā.i-e-afkār

    behūda kitāboñ ḳhurāfāt badal Daal

    kar fikr-e-amal zikr-e-ḳhat-o-ḳhāl abas hai

    ai 'faiz' zarā apne ḳhayālāt badal Daal

    uTh az-sar-e-nau dahr ke haalat badal Dal

    tadbir se taqdir ke din-raat badal Dal

    phir dars-e-musawat ki hajat hai jahan ko

    aaqai-o-KHidmat ke KHitabaat badal Dal

    kala ho ki gora ho KHuda ek hai sab ka

    qaumiyyat-e-beja ki riwayat badal Dal

    chini ho ki hindi ho barabar ke hain bhai

    wataniyyat-e-mahdud ke wahmat badal Dal

    kul chhoTe-baDe aadam-e-KHaki ke hain farzand

    har nasl se bezar ho har zat badal Dal

    aKHlaq mein taqat hai fuzun tegh-o-sinan se

    paikar ke ye aahani aalat badal Dal

    kya zulm hai insan ho insan ka dushman

    mardan-e-hawas-kar ki aadat badal Dal

    mehnat se bhi mazdur ko roTi nahin milti

    is banda-e-majbur ke auqat badal Dal

    aapas mein ye har roz ki KHun-reziyan kab tak

    KHud-saKHta mazhab ki rusumat badal Dal

    hurriyat-e-kaamil ka wo eajaz dikha tu

    duniya-e-ghulami ke tilismat badal Dal

    KHilqat ko bula shirk se tauhid ki jaanib

    piron ki faqiron ki karamat badal Dal

    talim pe mauquf hai ranai-e-afkar

    behuda kitabon ki KHurafat badal Dal

    kar fikr-e-amal zikr-e-KHat-o-KHal abas hai

    ai 'faiz' zara apne KHayalat badal Dal

    Source:

    Das Nazmein (Pg. 31)

    • Author: Faiz Ludhianvi
      • Publisher: Riyaz Book Depot, Lahore
      • Year of Publication: 1940
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now