Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tajdid

Anjum Azmi

tajdid

Anjum Azmi

MORE BYAnjum Azmi

    koī aaya hai tabassum ziyā phail ga.ī

    ruuh vīrān thī hañsne zamāna aaya

    ab isī zaḳhm ke bharne zamāna aaya

    koī aaya hai nadāmat fusūñ āñkhoñ meñ

    sub.h ke nuur mānind chamak uThtā hai

    merī duniyā-e-mohabbat ḳhudā aaya hai

    aaj ruk jā.eñge bahte hue aañsū mere

    aaj phir nuur qindīl jalegī ghar meñ

    zindagī aaj simaT aa.ī hai kāshāne meñ

    aaj phir mujh ko gunahgār banā jā.egī

    ziist ko ziist shahkār banā jā.egī

    chheḌ kar sāz-e-masarrat koī ḳhāmoshī se

    ab utartā hai mirī ruuh gahrā.ī meñ

    āb-e-kausar meñ koī mauj uThī thī lekin

    tham ga.ī hai mire paimāne meñ aakar jaise

    is tarah parde uThā.e ga.e chupke chupke

    kārobār-e-dil-e-nādāñ pe koī hañs na sakā

    jaise ab koī haqīqat nahīñ is ke sivā

    merī duniyā-e-mohabbat ḳhudā aa gayā

    koi aaya hai tabassum ki ziya phail gai

    ruh viran thi hansne ka zamana aaya

    ab isi zaKHm ke bharne ka zamana aaya

    koi aaya hai nadamat ka fusun aankhon mein

    subh ke nur ki manind chamak uThta hai

    meri duniya-e-mohabbat ka KHuda aaya hai

    aaj ruk jaenge bahte hue aansu mere

    aaj phir nur ki qindil jalegi ghar mein

    zindagi aaj simaT aai hai kashane mein

    aaj phir mujh ko gunahgar bana jaegi

    zist ko zist ka shahkar bana jaegi

    chheD kar saz-e-masarrat koi KHamoshi se

    ab utarta hai meri ruh ki gahrai mein

    aab-e-kausar mein koi mauj uThi thi lekin

    tham gai hai mere paimane mein aakar jaise

    is tarah parde uThae gae chupke chupke

    karobar-e-dil-e-nadan pe koi hans na saka

    jaise ab koi haqiqat hi nahin is ke siwa

    meri duniya-e-mohabbat ka KHuda aa hi gaya

    Source:

    Lab-o-Rukhsar (Pg. 79)

    • Author: Anjum Azmi
      • Publisher: Art Academy, Aligarh
      • Year of Publication: 1952
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now