tajdid
us ke shahr kī saarī galiyāñ saarī saḌkeñ
niiñd meñ Duubī
barf kī moTī chādar oḌhe
uuñgh rahī thiiñ
būḌhe church kī nā-āsūda pur-asrār 'imārat
kohr meñ lipTī
sadiyoñ ke auhām sajā.e
har aahaT par kaan lagā.e
jaag rahī thī
aur maiñ ātish-dān ke aage
kursī rakh kar
shaam se baiThā soch rahā thā
saarī yādeñ saare aañsū
saarī hijr-zada rūmānī nazmeñ
ātish-dān ke angāroñ par pheñk ke
ghar vāpas jā.ūñgā
us ke shahr ki sari galiyan sari saDken
nind mein Dubi
barf ki moTi chadar oDhe
ungh rahi thin
buDhe church ki na-asuda pur-asrar 'imarat
kohr mein lipTi
sadiyon ke auham sajae
har aahaT par kan lagae
jag rahi thi
aur main aatish-dan ke aage
kursi rakh kar
sham se baiTha soch raha tha
sari yaaden sare aansu
sari hijr-zada rumani nazmen
aatish-dan ke angaron par phenk ke
ghar wapas jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.