Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taKHliq

Afroz Alam

taKHliq

Afroz Alam

MORE BYAfroz Alam

    ka.ī dinoñ se

    kisī bahāne

    dil bahaltā nahīñ

    yuuñ lagtā hai

    jaise

    zehn ke goshe meñ

    phir halchal hone vaalī hai

    koī parinda

    toḌ ke piñjra

    duur pahuñchne vaalā hai

    shāyad kisī sayyāre par

    ik duniyā basne vaalī hai

    kai dinon se

    kisi bahane

    dil bahalta hi nahin

    yun lagta hai

    jaise

    zehn ke goshe mein

    phir halchal hone wali hai

    koi parinda

    toD ke pinjra

    dur pahunchne wala hai

    shayad kisi sayyare par

    ek duniya basne wali hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now