Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

talash-e-mahbub

Salam Sandelvi

talash-e-mahbub

Salam Sandelvi

MORE BYSalam Sandelvi

    kisī ne mujh se kahā chaman meñ rahtā hai

    guloñ mahkī huī anjuman meñ rahtā hai

    magar kisī bhī chaman meñ tirā nishāñ na milā

    patā chalā ki hai kunj-e-sadaf meñ terā ghar

    muqīm rahtā hai us meñ ban ke āb-e-guhar

    magar kahīñ bhī tirā bahr-e-bekarāñ na milā

    tirī gulābī-e-shabnam meñ justujū hai

    havā ke gesū-e-barham meñ justujū hai

    magar kahīñ bhī tirī zulf dhuāñ na milā

    ġhazāl-e-ra.anā se maiñ ne kabhī tujhe pūchhā

    ġhubār-e-sahrā se maiñ ne kabhī tujhe pūchhā

    fazā-e-dasht meñ bhī terā kārvāñ na milā

    kabhī falak ghaTā meñ tujhe talāsh kiyā

    kabhī shafaq hinā meñ tujhe talāsh kiyā

    kisī jagah bhī magar terā āstāñ na milā

    mujhe ḳhabar milī kāshāna hai tirā mahtāb

    chashm-e-māh meñ rahtā hai ban ke rangīñ ḳhvāb

    tirā surāġh magar sū-e-kahkashāñ na milā

    batā ki tujhe maiñ kahāñ talāsh karūñ

    maiñ kis jagah tujhe nūr-e-ravāñ talāsh karūñ

    jahāñ-jahāñ maiñ gayā vahāñ-vahāñ na milā

    koī uThā na sakā tere parda-hā-e-nāz

    zamīn-o-charḳh pe koī nahīñ hai mahram-e-rāz

    tujhe batā.e koī aisā nukta-dāñ na milā

    kisi ne mujh se kaha tu chaman mein rahta hai

    gulon ki mahki hui anjuman mein rahta hai

    magar kisi bhi chaman mein tera nishan na mila

    pata chala ki hai kunj-e-sadaf mein tera ghar

    muqim rahta hai tu us mein ban ke aab-e-guhar

    magar kahin bhi tera bahr-e-bekaran na mila

    teri gulabi-e-shabnam mein justuju ki hai

    hawa ke gesu-e-barham mein justuju ki hai

    magar kahin bhi teri zulf ka dhuan na mila

    ghazal-e-rana se main ne kabhi tujhe puchha

    ghubar-e-sahra se main ne kabhi tujhe puchha

    faza-e-dasht mein bhi tera karwan na mila

    kabhi falak ki ghaTa mein tujhe talash kiya

    kabhi shafaq ki hina mein tujhe talash kiya

    kisi jagah bhi magar tera aastan na mila

    mujhe KHabar mili kashana hai tera mahtab

    tu chashm-e-mah mein rahta hai ban ke rangin KHwab

    tera suragh magar su-e-kahkashan na mila

    tu hi bata ki tujhe main kahan talash karun

    main kis jagah tujhe nur-e-rawan talash karun

    jahan-jahan main gaya tu wahan-wahan na mila

    koi uTha na saka tere parda-ha-e-naz

    zamin-o-charKH pe koi nahin hai mahram-e-raaz

    tujhe batae koi aisa nukta-dan na mila

    Source:

    Barg-o-Bar (Pg. 103)

    • Author: Salam Sandelvi
      • Publisher: Naseem Book Depot, Lucknow
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now