talash-e-nur
fikr-o-ālām ke bādal meñ haiñ anvār-e-hayāt
raushnī kyā kisī tanvīr kā partav bhī nahīñ
nau-e-insāñ kī fazāoñ pe hai zulmat kā jamāv
sham-e-mahtāb kā kyā zikr koī lau bhī nahīñ
zehn tārīk haiñ ajsām kī duniyā hai siyāh
hai anāsir kī fazāoñ meñ talātum barpā
amn kī mauj kā miltā nahīñ halkā sā nishāñ
zindagī meñ hai maqāsid kā tasādum barpā
bartarī paikar-o-ajsām kī hai jo kuchh hai
ruuh ko qābil-e-taz.hīk kahā jaatā hai
kyā zamāna hai ki zulmat ko samajhte haiñ nuur
nuur ko jāda-e-tārīk kahā jaatā hai
aao ai ahl-e-ḳhirad ahl-e-junūñ ahl-e-zamīñ
bazm-e-hastī meñ mohabbat se charāġhāñ kar deñ
rūh-e-irfāñ kā anāsir ko sunā kar paiġhām
aaj insān ko phir mahram-e-insāñ kar deñ
fikr-o-alam ke baadal mein hain anwar-e-hayat
raushni kya kisi tanwir ka partaw bhi nahin
nau-e-insan ki fazaon pe hai zulmat ka jamaw
sham-e-mahtab ka kya zikr koi lau bhi nahin
zehn tarik hain ajsam ki duniya hai siyah
hai anasir ki fazaon mein talatum barpa
amn ki mauj ka milta nahin halka sa nishan
zindagi mein hai maqasid ka tasadum barpa
bartari paikar-o-ajsam ki hai jo kuchh hai
ruh ko qabil-e-tazhik kaha jata hai
kya zamana hai ki zulmat ko samajhte hain nur
nur ko jada-e-tarik kaha jata hai
aao ai ahl-e-KHirad ahl-e-junun ahl-e-zamin
bazm-e-hasti mein mohabbat se charaghan kar den
ruh-e-irfan ka anasir ko suna kar paigham
aaj insan ko phir mahram-e-insan kar den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.