Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

talash

Yusuf Kamran

talash

Yusuf Kamran

MORE BYYusuf Kamran

    maiñ tujhe DhūñDne niklā huuñ mirī jān-e-nazar

    jāntā huuñ ki tirī rāhguzar kaun hai

    dekhtā bhī huuñ ki paas se guzrī hai mire

    par jo chhūne ko baḌhūñ tujh ko

    to ye tund havā

    raah meñ ik kaḌī dīvār ban jaatī hai

    kis taraf jā.ūñ

    koī naqsh-e-kaf-e-pā bhī nahīñ

    in fazāoñ meñ faqat terī mahak paatā huuñ

    raah bhūlā huuñ kuchh aisā

    ki ghane jangal meñ

    ab jo maiñ ḳhud ko bhī DhūñDūñ to nahīñ saktā

    main tujhe DhunDne nikla hun meri jaan-e-nazar

    jaanta hun ki teri rahguzar kaun si hai

    dekhta bhi hun ki tu pas se guzri hai mere

    par jo chhune ko baDhun tujh ko

    to ye tund hawa

    rah mein ek kaDi diwar si ban jati hai

    kis taraf jaun

    koi naqsh-e-kaf-e-pa bhi nahin

    in fazaon mein faqat teri mahak pata hun

    rah bhula hun kuchh aisa

    ki ghane jangal mein

    ab jo main KHud ko bhi DhunDun to nahin pa sakta

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now