talab
havā ruk-ruk ke chaltī hai
havā kuchh tez ho jaa.e bahut hī tez ho jaa.e
ravāñ kar de sulagtī aag ko
aur aag
chāroñ samt phaile
phailtī jaa.e
sulagtī aag ham-āġhosh-e-sarsar ho
har ik jānib
jamāl-e-sho.alagī hī ek manzar ho
havā meñ sho.alagī tahlīl ho jaa.e
kahīñ kuchh bhī na ho baaqī
na honā bhī magar hone kī ik tafsīl ho jaa.e
hamāre naam se
har ek shai mansūb ho jaa.e
talab
matlūb ho jaa.e
hawa ruk-ruk ke chalti hai
hawa kuchh tez ho jae bahut hi tez ho jae
rawan kar de sulagti aag ko
aur aag
chaaron samt phaile
phailti jae
sulagti aag ham-aghosh-e-sarsar ho
har ek jaanib
jamal-e-shoalagi hi ek manzar ho
hawa mein shoalagi tahlil ho jae
kahin kuchh bhi na ho baqi
na hona bhi magar hone ki ek tafsil ho jae
hamare nam se
har ek shai mansub ho jae
talab
matlub ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.