Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

talabgar mard tha

Nazish Partap Gadhi

talabgar mard tha

Nazish Partap Gadhi

MORE BYNazish Partap Gadhi

    raat zulf-e-siyah aur sañvartī rahī

    raat zulf-e-siyah aur sañvartī rahī

    chāñd bikhrī huī sard shuāoñ se alag

    aur khamboñ sulagtī huī āñkhoñ se alag

    ik nazar thī jo ḳhalāoñ meñ bhaTaktī rahī

    silvaTeñ soch gahrī huiiñ gahrī ho kar

    mere māhaul pe chhā.ī ga.iiñ chhātī ga.iiñ

    merī be-tāb nazar charḳh se Takrā ga.ī

    aur Takrā.ī to phir charḳh ra.anā.ī ga.ī

    gardisheñ chāñd sitāroñ nazar aane lagīñ

    gardisheñ tez huīñ, tez huīñ, tez huiiñ

    aur phir tez, bahut tez, bahut tez huiiñ

    jaise ye gardisheñ karte hue tāre, ye chāñd

    kurra-e-arz se yak-bārgī Takrā.eñge

    aur phir gardisheñ kartā huā har ik taarā

    az-sar-e-nau kura-e-arz banā legā

    aur phir gardisheñ kartā huā ye zard chāñd

    ik ufuq apne liye aur sajā legā

    kurra-e-arz jahāñ maut na kāhish hogī

    ik ufuq, jis meñ tapish aur na sozish hogī

    tez-tar hotī ga.iiñ gardisheñ sayyāroñ

    nāchtā rahā mehvar pe vo piilā mahtāb

    aur har samt isī gardish-e-paiham ḳharosh

    aur phir rah na gayā raqs ke andāz meñ josh

    ek parvāna girā sham-e-fasurda ke qarīb

    ek taare ne kahā TuuT ke, lo maiñ to chalā

    aur phir gardisheñ kartā huā

    aur phir maiñ thā vahī martā sulagtā māhaul

    raqs karte hue sayyāroñ sa.i-e-nākām

    raat zulf-e-siyah aur sañvartī rahī

    raat ki zulf-e-siyah aur sanwarti hi rahi

    raat ki zulf-e-siyah aur sanwarti hi rahi

    chand ki bikhri hui sard shuaon se alag

    aur khambon ki sulagti hui aankhon se alag

    ek nazar thi jo KHalaon mein bhaTakti hi rahi

    silwaTen soch ki gahri huin gahri ho kar

    mere mahaul pe chhai gain chhati hi gain

    meri be-tab nazar charKH se Takra hi gai

    aur Takrai to phir charKH ki ranai gai

    gardishen chand sitaron ki nazar aane lagin

    gardishen tez huin, tez huin, tez huin

    aur phir tez, bahut tez, bahut tez huin

    jaise ye gardishen karte hue tare, ye chand

    kurra-e-arz se yak-bargi Takraenge

    aur phir gardishen karta hua har ek tara

    az-sar-e-nau kura-e-arz bana hi lega

    aur phir gardishen karta hua ye zard sa chand

    ek ufuq apne liye aur saja hi lega

    kurra-e-arz jahan maut na kahish hogi

    ek ufuq, jis mein tapish aur na sozish hogi

    tez-tar hoti gain gardishen sayyaron ki

    nachta hi raha mehwar pe wo pila mahtab

    aur har samt isi gardish-e-paiham ka KHarosh

    aur phir rah na gaya raqs ke andaz mein josh

    ek parwana gira sham-e-fasurda ke qarib

    ek tare ne kaha TuT ke, lo main to chala

    aur phir gardishen karta hua

    aur phir main tha wahi marta sulagta mahaul

    raqs karte hue sayyaron ki sai-e-nakaam

    raat ki zulf-e-siyah aur sanwarti hi rahi

    Source:

    Naya Saaz Naya Andaz (Pg. 196)

    • Author: Nazish Pratabgarhi
      • Edition:  2009
      • Publisher: Utaar Pradesh Urdu Academy
      • Year of Publication:  2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now