Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamancha

Fakhira batool

tamancha

Fakhira batool

MORE BYFakhira batool

    mat tahzīb tamaddun tum ham se baat karo

    dil dard chhalak jā.egā varna āñkhoñ se

    ġhairat ke us naam pe ab tak jitne ḳhuun hue

    un meñ kal ik chaar saal bachchī bhī dekhī

    jis ne haath meñ kapḌe ik guḌiyā thāmī thī

    muTThī meñ ik toffē thī jo us ne khānī thī

    us palkoñ par hairat thī

    hairat meñ thā ḳhauf

    gardan par ḳhanjar ghaav itnā gahrā thā

    jaise us ko kāTne vaalā haath parāyā ho

    ghar ke ġhairat-mañd mardoñ se pūchh sakī na vo

    baabā bhayyā bolo ġhairat kis ko kahte haiñ

    mat tahzīb tamaddun tum ham se baat karo

    mat tahzib tamaddun ki tum hum se baat karo

    dil ka dard chhalak jaega warna aankhon se

    ghairat ke us nam pe ab tak jitne KHun hue

    un mein kal ek chaar sal ki bachchi bhi dekhi

    jis ne hath mein kapDe ki ek guDiya thami thi

    muTThi mein ek toffee thi jo us ne khani thi

    us ki palkon par hairat thi

    hairat mein tha KHauf

    gardan par KHanjar ka ghaw itna gahra tha

    jaise us ko kaTne wala hath paraya ho

    ghar ke ghairat-mand mardon se puchh saki na wo

    baba bhayya bolo ghairat kis ko kahte hain

    mat tahzib tamaddun ki tum hum se baat karo

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now