Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamanna ka saya

Sarwat Zehra

tamanna ka saya

Sarwat Zehra

MORE BYSarwat Zehra

    darī ke nīche se nikle

    gard-o-ġhubār meñ

    mere qadmoñ nishān paḌā milā hai

    nishān jo maiñ ne pichhlī kisī sadī meñ

    vaqt darī ke nīche dabā diyā thā

    dabā diyā thā

    tum ne kisī na.ī bāryābī ke liye

    bo diyā thā

    magar darī ke nīche se

    daryāft hone vaalā nishān

    vaqt pahan kar

    safar pāzeb bajāte bajāte

    sūkhe chamḌe akaḌ gayā hai

    mujhe apne pairoñ pe vo nishān

    kisī būḌhī aatmā tarah ḳhauf-zada kar rahā hai

    dari ke niche se nikle

    gard-o-ghubar mein

    mere qadmon ka nishan paDa mila hai

    nishan jo main ne pichhli kisi sadi mein

    waqt ki dari ke niche daba diya tha

    daba diya tha

    ya tum ne kisi nai baryabi ke liye

    bo diya tha

    magar dari ke niche se

    daryaft hone wala nishan

    waqt pahan kar

    safar ki pazeb bajate bajate

    sukhe chamDe sa akaD gaya hai

    mujhe apne pairon pe wo nishan

    kisi buDhi aatma ki tarah KHauf-zada kar raha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now