Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tanhai

MORE BYAzeemuddin Ahmad

    mujh tanhā nahīñ duniyā meñ ḳhudāyā koī

    maiñ na apnā huuñ kisī bhī na merā koī

    kyā milā mujh ko chahal saala rifāqat karke

    ab kisī par na kare aah bharosā koī

    tābish-e-hijr ne dil ye banā sūrat

    jaise ho dhuup meñ taptā huā sahrā koī

    ātish-e-shauq uThtī haiñ kuchh aisī lahreñ

    jis tarah aag bhaḌkā huā dariyā koī

    ek vo din thā ki rotoñ ko hañsā detā thā

    ab to rotā huuñ jo dekhā kahīñ hañstā koī

    maiñ huuñ nairañgī-e-ālam mujassam tasvīr

    mujh se behtar nahīñ ibrat tamāshā koī

    maiñ vo qatra huuñ samundar se jo mahrūm rahā

    mujh ko kyā mauj meñ aayā kare dariyā koī

    be-ruḳhī aah ye kaisī hai ki is aalam meñ

    mile lākhoñ na huā ek bhī apnā koī

    mujh sa tanha nahin duniya mein KHudaya koi

    main na apna hun kisi ka bhi na mera koi

    kya mila mujh ko chahal sala rifaqat karke

    ab kisi par na kare aah bharosa koi

    tabish-e-hijr ne dil ki ye bana di surat

    jaise ho dhup mein tapta hua sahra koi

    aatish-e-shauq ki uThti hain kuchh aisi lahren

    jis tarah aag ka bhaDka hua dariya koi

    ek wo din tha ki roton ko hansa deta tha

    ab to rota hun jo dekha kahin hansta koi

    main hun nairangi-e-alam ki mujassam taswir

    mujh se behtar nahin ibrat ka tamasha koi

    main wo qatra hun samundar se jo mahrum raha

    mujh ko kya mauj mein aaya kare dariya koi

    be-ruKHi aah ye kaisi hai ki is aalam mein

    mile lakhon na hua ek bhi apna koi

    Source:

    Gul-e-Naghma (Pg. 103)

    • Author: Azeemuddin Ahmad
      • Publisher: B. D. Khana, Danapur, Patna
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now