Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taqabul

Amjad Najmi

taqabul

Amjad Najmi

MORE BYAmjad Najmi

    mazdūr

    kitnī tārīk hai mazdūr duniyā ab tak

    us ko afsos kabhī shaad na dekhā ab tak

    vahī mehnat vahī dukh aur vahī ġham shiddat

    vahī nik.hat vahī iflās vahī hai ġhurbat

    TuuTe ghar meñ vahī phūTā diyā

    din nahīñ raat nahīñ sub.h nahīñ shaam nahīñ

    use bisrām nahīñ sukh nahīñ ārām nahīñ

    baal bachchoñ hai kuchh fikr to kuchh apnā ḳhayāl

    isī uljhan meñ shab-o-roz vo rahtā hai niDhāl

    yuuñ jiyā bhī to bhalā kyā vo jiyā

    dhanvān

    aur dhanvān ab tak hai vahī sar ūñchā

    us ke darvāze dahlīz patthar ūñchā

    vahī bangle vahī koThe haiñ vahī rang-mahal

    vahī gadde vahī masnad vahī farsh-e-maḳhmal

    qumqumoñ se hai mahal baqqa-e-nūr

    kis ra.ūnat se vo letā hai ġharīboñ salām

    aisā sukmār hai kuchh itnā hai nāzuk-andām

    haath uThānā to kujā jumbish-e-abrū bhī nahīñ

    paas aḳhlāq-o-sharāfat sar-e-mū bhī nahīñ

    kitnā fir.aun hai kaisā maġhrūr

    mazdur

    kitni tarik hai mazdur ki duniya ab tak

    us ko afsos kabhi shad na dekha ab tak

    wahi mehnat wahi dukh aur wahi gham ki shiddat

    wahi nikhat wahi iflas wahi hai ghurbat

    TuTe ghar mein wahi phuTa sa diya

    din nahin raat nahin subh nahin sham nahin

    use bisram nahin sukh nahin aaram nahin

    baal bachchon ki hai kuchh fikr to kuchh apna KHayal

    isi uljhan mein shab-o-roz wo rahta hai niDhaal

    yun jiya bhi to bhala kya wo jiya

    dhanwan

    aur dhanwan ka ab tak hai wahi sar uncha

    us ke darwaze ki dahliz ka patthar uncha

    wahi bangle wahi koThe hain wahi rang-mahal

    wahi gadde wahi masnad wahi farsh-e-maKHmal

    qumqumon se hai mahal baqqa-e-nur

    kis raunat se wo leta hai gharibon ka salam

    aisa sukmar hai kuchh itna hai nazuk-andam

    hath uThana to kuja jumbish-e-abru bhi nahin

    pas aKHlaq-o-sharafat ka sar-e-mu bhi nahin

    kitna firaun hai kaisa maghrur

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now