tarbiyat
Interesting Fact
(Talim-o-Tarbiyat) (Zarb-e-Kalim)
zindagī kuchh aur shai hai 'ilm hai kuchh aur shai
zindagī soz-e-jigar hai 'ilm hai soz-e-dimāġh
'ilm meñ daulat bhī hai qudrat bhī hai lazzat bhī hai
ek mushkil hai ki haath aatā nahīñ apnā surāġh
ahl-e-dānish 'aam haiñ kamyāb haiñ ahl-e-nazar
kyā ta'ajjub hai ki ḳhālī rah gayā terā ayāġh
shaiḳh-e-maktab ke tarīqoñ se kushād dil kahāñ
kis tarah kibrīt se raushan ho bijlī kā charāġh
zindagi kuchh aur shai hai 'ilm hai kuchh aur shai
zindagi soz-e-jigar hai 'ilm hai soz-e-dimagh
'ilm mein daulat bhi hai qudrat bhi hai lazzat bhi hai
ek mushkil hai ki hath aata nahin apna suragh
ahl-e-danish 'am hain kamyab hain ahl-e-nazar
kya ta'ajjub hai ki KHali rah gaya tera ayagh
shaiKH-e-maktab ke tariqon se kushad dil kahan
kis tarah kibrit se raushan ho bijli ka charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.