Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

targhib

Meeraji

targhib

Meeraji

MORE BYMeeraji

    rasīle jarā.em ḳhushbū

    mire zehn meñ aa rahī hai

    rasīle jarā.em ḳhushbū

    mujhe hadd-e-idrāk se duur le rahī hai

    javānī ḳhuuñ hai

    bahāreñ haiñ mausam zamīñ par!

    pasand aaj mujh ko junūñ hai

    nigāhoñ meñ hai mere nashshe uljhan

    ki chhāyā hai tarġhīb jaal har ik hasīñ par

    rasīle jarā.em ḳhushbū mujhe aaj lalchā rahī hai!

    qavānīn-e-aḳhlāq ke saare bandhan shikasta nazar aa rahe haiñ

    hasīn aur mamnua jhurmuT mire dil ko phuslā rahe haiñ

    ye malbūs resham ke aur un larzish

    ye ġhāza..... ye engine

    nisā.ī fusūñ har ik mohnī aaj kartī hai sāzish

    mire dil ko bahkā rahī hai!

    mire zehn meñ aa rahī hai

    rasīle jarā.em ḳhushbū!

    rasile jaraem ki KHushbu

    mere zehn mein aa rahi hai

    rasile jaraem ki KHushbu

    mujhe hadd-e-idrak se dur le ja rahi hai

    jawani ka KHun hai

    bahaaren hain mausam zamin par!

    pasand aaj mujh ko junun hai

    nigahon mein hai mere nashshe ki uljhan

    ki chhaya hai targhib ka jal har ek hasin par

    rasile jaraem ki KHushbu mujhe aaj lalcha rahi hai!

    qawanin-e-aKHlaq ke sare bandhan shikasta nazar aa rahe hain

    hasin aur mamnua jhurmuT mere dil ko phusla rahe hain

    ye malbus resham ke aur un ki larzish

    ye ghaza ye engine

    nisai fusun ki har ek mohni aaj karti hai sazish

    mere dil ko bahka rahi hai!

    mere zehn mein aa rahi hai

    rasile jaraem ki KHushbu!

    Source:

    meri behtareen nazam (Pg. 114)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now