Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

targhib

Nahid Qasmi

targhib

Nahid Qasmi

MORE BYNahid Qasmi

    pyāre sūraj

    tum to apnā chehra

    āsmān par tairte tāroñ ke ā.īnoñ meñ DhūñDte rahte ho

    par merī bhī ik baat suno

    ye jo aañkh meñ raushan taare haiñ

    aur ye jo gāloñ par bahte hue taare haiñ

    aur ye jo phuul phuul pattī pattī par Thahre hue taare haiñ

    aur ye jo ret se jhāñkte taare haiñ

    aur ye jo nadiyā lahroñ par nāchte aur nahāte taare haiñ

    ye taare bhī ā.īne haiñ

    aur merī zamīn ke ye ā.īne

    pyāre sirf tumhāre haiñ

    pyare suraj

    tum to apna chehra

    aasman par tairte taron ke aainon hi mein DhunDte rahte ho

    par meri bhi ek baat suno

    ye jo aankh mein raushan tare hain

    aur ye jo galon par bahte hue tare hain

    aur ye jo phul phul ki patti patti par Thahre hue tare hain

    aur ye jo ret se jhankte tare hain

    aur ye jo nadiya ki lahron par nachte aur nahate tare hain

    ye tare bhi aaine hain

    aur meri zamin ke ye aaine

    pyare sirf tumhaare hain

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 235)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now