Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tark-e-talluq

Sajid Rais Warsi

tark-e-talluq

Sajid Rais Warsi

MORE BYSajid Rais Warsi

    gar ta.alluq tark karnā thā

    mujh se phir pyaar kyoñ kiyā ne

    muskurātī lajātī āñkhoñ se

    ek iqrār kyoñ kiyā ne

    maiñ ne kab terā pyaar māñgā thā

    maiñ ne kab terī aarzū thī

    maiñ to ḳhāmosh thā falak tarah

    maiñ ne kab terī justujū thī

    ne ḳhud muskurātī āñkhoñ se

    mujh ko āvāz de ke chauñkāyā

    mere nāzuk nā-āshnā dil ko

    husn saaz de ke chauñkāyā

    ab vo qasmeñ vo ahd vo va.ade

    jaane kyā ho ga.e ḳhudā jaane

    vo junūñ-ḳhez ātishī jazbāt

    ab kahāñ kho ga.e ḳhudā jaane

    jaane kyoñ ab tirī hasīñ āñkheñ

    merī jānib kabhī nahīñ uThtī

    jaane kyoñ ab hasīn gāloñ par

    phuul pañkhuḌiyāñ nahīñ khiltī

    gar ta.alluq tark karnā thā

    kaash pahle kah diyā hotā

    aaj maiñ apnī zindagānī se

    is qadar duur na huā hotā

    gar talluq hi tark karna tha

    mujh se phir pyar kyon kiya tu ne

    muskuraati lajati aankhon se

    ek iqrar kyon kiya tu ne

    main ne kab tera pyar manga tha

    main ne kab teri aarzu ki thi

    main to KHamosh tha falak ki tarah

    main ne kab teri justuju ki thi

    tu ne KHud muskuraati aankhon se

    mujh ko aawaz de ke chaunkaya

    mere nazuk na-ashna dil ko

    husn ka saz de ke chaunkaya

    ab wo qasmen wo ahd wo wade

    jaane kya ho gae KHuda jaane

    wo junun-KHez aatishi jazbaat

    ab kahan kho gae KHuda jaane

    jaane kyon ab teri hasin aankhen

    meri jaanib kabhi nahin uThti

    jaane kyon ab hasin galon par

    phul ki pankhuDiyan nahin khilti

    gar talluq hi tark karna tha

    kash pahle hi kah diya hota

    aaj main apni zindagani se

    is qadar dur na hua hota

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now