Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tarz-e-hayat

Ameer Aurangabadi

tarz-e-hayat

Ameer Aurangabadi

MORE BYAmeer Aurangabadi

    terī nazar meñ vus.at-e-kaun-o-makāñ rahe

    baalā ta.a.īnāt se terā jahāñ rahe

    shabnam saaf ho tirī fitrat ā.īna

    kirnoñ se āftāb ham-zabāñ rahe

    har bol terā naġhma-e-rañgīñ se ho sivā

    terī tamām zindagī ik dāstāñ rahe

    lahrā rahā hai dil meñ tire chashma-e-hayāt

    tujh par hazār haif ki tishna-dahāñ rahe

    jab ashk-hā-e-ḳhūñ ko guhar banā sake

    phir kyoñ tirī nigāh sū-e-asmāñ rahe

    fursat tirī aziiz hai manzil raah le

    kab tak shikāyat-e-sitam-e-āsmāñ rahe

    rasm-o-quyūd kabhī pāband na rah

    parvāna kar jo tujh se jahāñ sargirāñ rahe

    himmat ye hai ki terī judā kā.enāt ho

    kyoñ tujh ko nāzish-e-hasham-e-raftagāñ rahe

    ho umr muḳhtasar tirī par sham.a tarah

    jab tak rahe raunaq-e-bazm-e-jahāñ rahe

    teri nazar mein wusat-e-kaun-o-makan rahe

    baala tainat se tera jahan rahe

    shabnam sa saf ho teri fitrat ka aaina

    kirnon se aaftab ki tu ham-zaban rahe

    har bol tera naghma-e-rangin se ho siwa

    teri tamam zindagi ek dastan rahe

    lahra raha hai dil mein tere chashma-e-hayat

    tujh par hazar haif ki tishna-dahan rahe

    jab ashk-ha-e-KHun ko guhar tu bana sake

    phir kyon teri nigah su-e-asman rahe

    fursat teri aziz hai manzil ki rah le

    kab tak shikayat-e-sitam-e-asman rahe

    rasm-o-quyud ka kabhi paband tu na rah

    parwana kar jo tujh se jahan sargiran rahe

    himmat ye hai ki teri juda kaenat ho

    kyon tujh ko nazish-e-hasham-e-raftagan rahe

    ho umr muKHtasar teri par shama ki tarah

    jab tak rahe tu raunaq-e-bazm-e-jahan rahe

    Source:

    Man ki Bansuri (Pg. 50)

    • Author: Ameer Aurangabadi
      • Publisher: Matba Ahad Aafrin, Deccan
      • Year of Publication: 1930
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now