aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tasawwur

Iftikhar Aazmi

tasawwur

Iftikhar Aazmi

MORE BYIftikhar Aazmi

    is shahr meñ shaam hote galiyoñ ke nukkaḌ par

    saḌkoñ ke kināre zinda-dil log

    āñkhoñ ke kaTore liye khaḌe ho jaate haiñ

    aur shāḳh-e-gul tarah lachaktī mahaktī laḌkiyāñ

    husn ḳhairāt bāñTtī phirtī haiñ

    ḳhūb-sūrat tanau-mand bachche

    phūloñ tarah muskurāte

    ek haath meñ khilaune

    ek haath meñ maañ uñglī pakḌe hañste-khelte guzarte haiñ

    mai-kadoñ meñ riñd jaam par jaam luñDhāte haiñ

    gharoñ meñ pakne vaale khānoñ ḳhushbū

    ishtihā ko tez kartī hai

    kitnā ḳhūb-sūrat kitnā jān-dār hai vo shahr jise merī band āñkhoñ ke alāva

    kisī aur ne nahīñ dekhā

    is shahr mein sham hote hi galiyon ke nukkaD par

    saDkon ke kinare zinda-dil log

    aankhon ke kaTore liye khaDe ho jate hain

    aur shaKH-e-gul ki tarah lachakti mahakti laDkiyan

    husn ki KHairaat banTti phirti hain

    KHub-surat tanau-mand bachche

    phulon ki tarah muskuraate

    ek hath mein khilaune

    ek hath mein man ki ungli pakDe hanste-khelte guzarte hain

    mai-kadon mein rind jam par jam lunDhate hain

    gharon mein pakne wale khanon ki KHushbu

    ishtiha ko tez karti hai

    kitna KHub-surat kitna jaan-dar hai wo shahr jise meri band aankhon ke alawa

    kisi aur ne nahin dekha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now