aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tasawwur

Kaifi Azmi

tasawwur

Kaifi Azmi

MORE BYKaifi Azmi

    ye kis tarah yaad aa rahī ho ye ḳhvāb kaisā dikhā rahī ho

    ki jaise sach-much nigāh ke sāmne khaḌī muskurā rahī ho

    ye jism-e-nāzuk, ye narm bāheñ, hasīn gardan, siDaul baazū

    shagufta chehra, salonī rañgat, ghanerā jūḌā, siyāh gesū

    nashīlī āñkheñ, rasīlī chitvan, darāz palkeñ, mahīn abrū

    tamām shoḳhī, tamām bijlī, tamām mastī, tamām jaadū

    hazāroñ jaadū jagā rahī ho

    ye ḳhvāb kaisā dikhā rahī ho

    gulābī lab, muskurāte āriz, jabīñ kushāda, buland qāmat

    nigāh meñ bijliyoñ jhil-mil, adāoñ meñ shabnamī latāfat

    dhaḌaktā sīna, mahaktī sāñseñ, navā meñ ras, añkhḌiyoñ meñ amrit

    hama halāvat, hama malāhat, hama tarannum, hama nazākat

    lachak lachak gungunā rahī ho

    ye ḳhvāb kaisā dikhā rahī ho

    to kyā mujhe tum jalā logī gale se apne lagā logī

    jo phuul juuḌe se gir paḌā hai taḌap ke us ko uThā logī

    bhaḌakte sho.aloñ, kaḌaktī bijlī se merā ḳhirman bachā logī

    ghanerī zulfoñ chhāñv meñ muskurā ke mujh ko chhupā logī

    ki aaj tak aazmā rahī ho

    ye ḳhvāb kaisā dikhā rahī ho

    nahīñ mohabbat koī qīmat jo koī qīmat adā karogī

    vafā fursat na degī duniyā hazār azm-e-vafā karogī

    mujhe bahalne do ranj-o-ġham se sahāre kab tak diyā karogī

    junūñ ko itnā na gudgudāo, pakaḌ luuñ dāman to kyā karogī

    qarīb baḌhtī aa rahī ho

    ye ḳhvāb kaisā dikhā rahī ho

    ye kis tarah yaad aa rahi ho ye KHwab kaisa dikha rahi ho

    ki jaise sach-much nigah ke samne khaDi muskura rahi ho

    ye jism-e-nazuk, ye narm bahen, hasin gardan, siDaul bazu

    shagufta chehra, saloni rangat, ghanera juDa, siyah gesu

    nashili aankhen, rasili chitwan, daraaz palken, mahin abru

    tamam shoKHi, tamam bijli, tamam masti, tamam jadu

    hazaron jadu jaga rahi ho

    ye KHwab kaisa dikha rahi ho

    gulabi lab, muskuraate aariz, jabin kushada, buland qamat

    nigah mein bijliyon ki jhil-mil, adaon mein shabnami latafat

    dhaDakta sina, mahakti sansen, nawa mein ras, ankhDiyon mein amrit

    hama halawat, hama malahat, hama tarannum, hama nazakat

    lachak lachak gunguna rahi ho

    ye KHwab kaisa dikha rahi ho

    to kya mujhe tum jala hi logi gale se apne laga hi logi

    jo phul juDe se gir paDa hai taDap ke us ko uTha hi logi

    bhaDakte shoalon, kaDakti bijli se mera KHirman bacha hi logi

    ghaneri zulfon ki chhanw mein muskura ke mujh ko chhupa hi logi

    ki aaj tak aazma rahi ho

    ye KHwab kaisa dikha rahi ho

    nahin mohabbat ki koi qimat jo koi qimat ada karogi

    wafa ki fursat na degi duniya hazar azm-e-wafa karogi

    mujhe bahalne do ranj-o-gham se sahaare kab tak diya karogi

    junun ko itna na gudgudao, pakaD lun daman to kya karogi

    qarib baDhti hi aa rahi ho

    ye KHwab kaisa dikha rahi ho

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Javed Naseem

    Javed Naseem

    RECITATIONS

    Kaifi Azmi

    Kaifi Azmi,

    Kaifi Azmi

    ye kis tarah yaad arh hi KAIFI AZMI 5 Kaifi Azmi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now