Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tashbib

MORE BYRahi Masoom Raza

    tujh ko chāñd nahīñ kah saktā

    kyūñki ye chāñd to is dhartī ke chaar taraf nāchā kartā hai

    maiñ albatta dīvāna huuñ

    tere gird phirā kartā huuñ

    jaise zamīñ ke gird ye chāñd aur sūraj ke gird apnī zamīñ nāchā kartī hai

    lekin maiñ bhī chāñd nahīñ huuñ

    maiñ bādal ik TukḌā huuñ

    jis ko terī qurbat kirnoñ ne uThā kar zulfoñ jaisī narm havā ko sauñp diyā hai

    lekin bādal qismat kyā

    tere firāq garmī mujh ko pighlā kar phir aañsū ke ik qatre meñ tabdīl karegī

    tujh ko charāġh nahīñ kah saktā

    kyūñki charāġh to shām-e-ġharībāñ ke sahrā meñ sub.h-e-vatan naqsh-e-qadam hai

    mujh meñ itnā nuur kahāñ hai

    maiñ to ik daryūza-gar huuñ

    sūraj chāñd sitāroñ ke darvāzoñ par dastak detā huuñ

    ek kiran do

    ek dahaktā añgāroñ do

    kabhī kabhī mil jaatā hai

    aur kabhī ye daryūza-gar ḳhālī haath chalā aatā hai

    maiñ to ek daryūza-gar huuñ

    kaliyoñ ke darvāzoñ par dastak detā huuñ

    ik chuTkī bhar rañg aur use ḳhushbū de

    lafzoñ kashkol liye phirtā rahtā huuñ

    kabhī kabhī kuchh mil jaatā hai

    aur kabhī ye daryūza-gar chāk-garebāñ phūloñ ko ḳhud apne garebāñ ik TukḌā de aatā hai!

    tujh ko ḳhvāb nahīñ kah saktā

    ḳhvāboñ kyā

    ḳhizāñ-rasīda pattī ke mānind havā Thes se bhī TuuTā karte haiñ

    lekin maiñ bhī ḳhvāb nahīñ huuñ

    ḳhvāb to vo hai jis ko koī dekh rahā ho

    maiñ ik diid huuñ

    ik giitā huuñ

    ik injīl huuñ ik qur.āñ huuñ

    rāhguzar par paḌā huā huuñ

    suud o ziyāñ is duniyā meñ kise bhalā itnī fursat hai

    mujhe uThā kar jo ye dekhe

    mujh meñ āḳhir kyā likkhā hai

    tujh ko raaz nahīñ kah saktā

    raaz to akasr khul jaate haiñ

    lekin maiñ bhī raaz nahīñ huuñ

    maiñ ik ġhamgīñ ā.īna huuñ

    merī nazmoñ har misra is ā.īne jauhar hai

    ā.īne meñ jhāñk kar log apne ko dekh rahe haiñ

    ā.īne ko kis ne dekhā

    batlā tere liye maiñ lā.ūñ kahāñ se ab tashbīheñ

    jis tashbīh ko chhūtā huuñ vo jhijhak ke pīchhe haT jaatī hai

    kah uThtī hai

    maiñ nāqis huuñ

    jān-e-tamannā

    terā shā.er tere qasīde tashbīb vaadī meñ āvāra hai

    tujh ko chand nahin kah sakta

    kyunki ye chand to is dharti ke chaar taraf nacha karta hai

    main albatta diwana hun

    tere gird phira karta hun

    jaise zamin ke gird ye chand aur suraj ke gird apni zamin nacha karti hai

    lekin main bhi chand nahin hun

    main baadal ka ek TukDa hun

    jis ko teri qurbat ki kirnon ne uTha kar zulfon jaisi narm hawa ko saunp diya hai

    lekin baadal ki qismat kya

    tere firaq ki garmi mujh ko pighla kar phir aansu ke ek qatre mein tabdil karegi

    tujh ko charagh nahin kah sakta

    kyunki charagh to sham-e-ghariban ke sahra mein subh-e-watan ka naqsh-e-qadam hai

    mujh mein itna nur kahan hai

    main to ek daryuza-gar hun

    suraj chand sitaron ke darwazon par dastak deta hun

    ek kiran do

    ek dahakta angaron do

    kabhi kabhi mil jata hai

    aur kabhi ye daryuza-gar KHali hath chala aata hai

    main to ek daryuza-gar hun

    kaliyon ke darwazon par dastak deta hun

    ek chuTki bhar rang aur use KHushbu de

    lafzon ka kashkol liye phirta rahta hun

    kabhi kabhi kuchh mil jata hai

    aur kabhi ye daryuza-gar chaak-gareban phulon ko KHud apne gareban ka ek TukDa de aata hai!

    tujh ko KHwab nahin kah sakta

    KHwabon ka kya

    KHizan-rasida patti ke manind hawa ki Thes se bhi TuTa karte hain

    lekin main bhi KHwab nahin hun

    KHwab to wo hai jis ko koi dekh raha ho

    main ek did hun

    ek gita hun

    ek injil hun ek quran hun

    rahguzar par paDa hua hun

    sud o ziyan ki is duniya mein kise bhala itni fursat hai

    mujhe uTha kar jo ye dekhe

    mujh mein aaKHir kya likkha hai

    tujh ko raaz nahin kah sakta

    raaz to akasr khul jate hain

    lekin main bhi raaz nahin hun

    main ek ghamgin aaina hun

    meri nazmon ka har misra is aaine ka jauhar hai

    aaine mein jhank kar log apne ko dekh rahe hain

    aaine ko kis ne dekha

    tu hi batla tere liye main laun kahan se ab tashbihen

    jis tashbih ko chhuta hun wo jhijhak ke pichhe haT jati hai

    kah uThti hai

    main naqis hun

    jaan-e-tamanna

    tera shaer tere qaside ki tashbib ki wadi hi mein aawara hai

    Source:

    ajnabi-shahr-ajnabi-raaste(rekhta website) (Pg. 89)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now