Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taswiren

Sajjad Zaheer

taswiren

Sajjad Zaheer

MORE BYSajjad Zaheer

    yak-rañg meñ saikaḌoñ rañg hote haiñ

    halke, gahre, maddham shaffāf

    raushniyoñ se bhare, chamakte, jagmagāte

    surma.ī abreshmī naqābeñ Daale

    ghule mile

    dhuup chhāñv āñkh-mīcholī khelte

    anokhe nuqūsh meñ ubhre uḌte hue

    phir itne gambhīr

    jaise jahāzoñ ke lañgar

    in meñ lahreñ hotī haiñ

    taḌaptī bechain tūfānī

    aur aisī bhī

    jin par sukūn ke saa.e

    chhā.e hue hote haiñ

    lekin un ke nīche

    pahāḌī jharnoñ tezī, tilmilāhaT

    justujū lahak

    aarzū pāgal mahak

    chhupī hotī hai

    aur jab ka.ī rañg

    un be-shumār tarañgeñ

    tarah tarah chhoTī baḌī

    chhupī aur zāhir lahreñ

    miltī ek dūsre se Takrātī haiñ

    tab na.e hairat-nāk hayūle

    aadhe puure bal khāte dā.ere

    mauhūm lakīreñ

    lā-javāb shakleñ

    aur aise paikar jo kisī dūsrī chiiz tarah nahīñ hote

    lekin jo ḳhud apnī alag anuup hastī meñ

    na.ī-navelī dulhan

    nau-zā.ida bachche tarah

    achchhe lagte haiñ

    vajūd meñ aa jaate haiñ

    jhilmilāte dhabboñ ye sho.ala

    insānī uñgliyoñ zehn aur ruuh ye karishma

    zabān ye jauhrī dhamāka

    zindagī ko par lagā detā hai

    use itnā ūñchā uḌā le jaatā hai

    jahāñ se is dhartī

    aur is par basne vāloñ ko

    ham yuuñ dekhte haiñ

    jaise tītof ne use dekhā thā

    aur us sab achchhā.iyoñ

    ḳhūbsūrtiyoñ

    is ḳhushbuoñ

    latāfatoñ rañgīniyoñ partav

    hamārī rūhoñ par bhī paḌtā hai

    ham badal jaate haiñ

    aisā ek chhitr

    tum ko ma.alūm nahīñ

    kin āsmānī rañgoñ se khīñchā

    apsarāoñ na jaane kaisī jaadū mudrāoñ se bharā

    sovarg ke kaun se madhur rāgoñ meñ Dhālā

    aur chupke se

    man ke garm tapte āñgan meñ rakh diyā

    daf.atan hazāroñ bahāreñ jaag paḌīñ

    gulābī pañkhuḌiyāñ barasne lagīñ

    mahaktī havāoñ se

    halkī halkī ThanDī narmiyāñ Tapak paḌīñ

    aur zindagī ḳhālī maañg

    sindōr se bhar ga.ii!

    yak-rang mein saikaDon rang hote hain

    halke, gahre, maddham shaffaf

    raushniyon se bhare, chamakte, jagmagate

    surmai abreshmi naqaben Dale

    ghule mile

    dhup chhanw ki aankh-micholi khelte

    anokhe nuqush mein ubhre uDte hue

    ya phir itne gambhir

    jaise jahazon ke langar

    in mein lahren hoti hain

    taDapti bechain tufani

    aur aisi bhi

    jin par sukun ke sae

    chhae hue hote hain

    lekin un ke niche

    pahaDi jharnon ki tezi, tilmilahaT

    justuju ki lahak

    aarzu ki pagal mahak

    chhupi hoti hai

    aur jab kai rang

    un ki be-shumar tarangen

    tarah tarah ki chhoTi baDi

    chhupi aur zahir lahren

    milti ek dusre se Takraati hain

    tab nae hairat-nak hayule

    aadhe pure bal khate daere

    mauhum lakiren

    la-jawab shaklen

    aur aise paikar jo kisi dusri chiz ki tarah nahin hote

    lekin jo KHud apni alag anup hasti mein

    nai-naweli dulhan

    nau-zaida bachche ki tarah

    achchhe lagte hain

    wajud mein aa jate hain

    jhilmilate dhabbon ka ye shoala

    insani ungliyon zehn aur ruh ka ye karishma

    zaban ka ye jauhri dhamaka

    zindagi ko par laga deta hai

    use itna uncha uDa le jata hai

    jahan se is dharti

    aur is par basne walon ko

    hum yun dekhte hain

    jaise titof ne use dekha tha

    aur us ki sab achchhaiyon

    KHubsurtiyon

    is ki KHushbuon

    latafaton ranginiyon ka partaw

    hamari ruhon par bhi paDta hai

    hum badal jate hain

    aisa hi ek chhitr

    tum ko malum nahin

    kin aasmani rangon se khincha

    apsaraon ki na jaane kaisi jadu mudraon se bhara

    sowarg ke kaun se madhur ragon mein Dhaala

    aur chupke se

    man ke garm tapte aangan mein rakh diya

    dafatan hazaron bahaaren jag paDin

    gulabi pankhuDiyan barasne lagin

    mahakti hawaon se

    halki halki ThanDi narmiyan Tapak paDin

    aur zindagi ki KHali mang

    sindoor se bhar gai!

    Source:

    aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 158)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now