Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tera aur mera sath

Zeef Zia

tera aur mera sath

Zeef Zia

MORE BYZeef Zia

    terā aur merā saath ālam-e-barzaḳh se hai

    ālam-e-barzaḳh ya.anī jahāñ arvāh ik saath thiiñ

    maiñ aur tum ya.anī ham

    vahāñ bhī ik saath the

    phir mujhe aur tumheñ ik saath

    shāyad tah-dar-tah ik saath sulā diyā gayā

    yahāñ hamāre liye maañ kokh ko garm kiyā gayā

    vahāñ maiñ aur yahāñ tum ne ik hayūle shakl

    farz karo chālīs din ik hafta ho aur tiin haftoñ meñ

    hamārā ya.anī tumhārā aur merā nuur ik nuur ne us hayūle meñ phūñk diyā

    tum pūchhtī ho kab se mohabbat hai

    tum sochtī ho kab se āshnā haiñ

    jānāñ

    ham duniyā daryāft se pahle āshnā haiñ

    hamārī arvāh ne daryāft se pahle mohabbat thī

    jism to ab mayassar haiñ

    magar

    ham kā.enāt ke vajūd se pahle mil chuke haiñ

    tera aur mera sath aalam-e-barzaKH se hai

    aalam-e-barzaKH yani jahan arwah ek sath thin

    main aur tum yani hum

    wahan bhi ek sath the

    phir mujhe aur tumhein ek sath

    shayad tah-dar-tah ek sath sula diya gaya

    yahan hamare liye man ki kokh ko garm kiya gaya

    wahan main aur yahan tum ne ek hayule ki shakl li

    farz karo chaalis din ka ek hafta ho aur tin hafton mein

    hamara yani tumhaara aur mera nur ek nur ne us hayule mein phunk diya

    tum puchhti ho kab se mohabbat hai

    tum sochti ho kab se aashna hain

    jaanan

    hum duniya ki daryaft se pahle aashna hain

    hamari arwah ne daryaft se pahle mohabbat ki thi

    jism to ab mayassar hain

    magar

    hum kaenat ke wajud se pahle mil chuke hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now