Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere jauban ke mausam mein

Sarmad Sahbai

tere jauban ke mausam mein

Sarmad Sahbai

MORE BYSarmad Sahbai

    o maTyālī!

    tere jism soñdhī ḳhushbū

    ro.eñ ro.eñ meñ sāñvlī rut bedār kare

    dil or se gahrī ghor ghaTā.eñ umDeñ

    aur mere ye pyāse hoñT

    tere siine ke pyāloñ meñ

    tairte añgūroñ ke ras ke lams meñ bhīgeñ

    terī harī-bharī sāñsoñ mushk nichoḌeñ

    o maTyālī

    tere jauban ke mausam meñ

    dil ke andar ġhaibī sūraj ke gul-rañg ajā.ib jāgeñ

    panj poroñ par pāñch hisoñ ke phuul khilīñ

    aur haule haule apne

    pyār-bhare hoñToñ se merā

    shahd kashīd kare

    o maTyali!

    tere jism ki sondhi KHushbu

    roen roen mein sanwli rut bedar kare

    dil ki or se gahri ghor ghaTaen umDen

    aur mere ye pyase honT

    tere sine ke pyalon mein

    tairte anguron ke ras ke lams mein bhigen

    teri hari-bhari sanson ki mushk nichoDen

    o maTyali

    tere jauban ke mausam mein

    dil ke andar ghaibi suraj ke gul-rang ajaib jagen

    panj poron par panch hison ke phul khilin

    aur tu haule haule apne

    pyar-bhare honTon se mera

    shahd kashid kare

    Source:

    Jalta Hai Badan (Pg. 60)

    • Author: Zahid Hasan
      • Edition: 2002
      • Publisher: Apnaidara, Lahore
      • Year of Publication: 2002
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now