Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tezab, aakar KHushbu ka

Farooq Nazki

tezab, aakar KHushbu ka

Farooq Nazki

MORE BYFarooq Nazki

    niibū pahāḌī ke dāman meñ

    ek gaañv hai

    'madrāban'

    jahāñ meñ paidā huā thā

    (merā naam mohamād-fārūq hai)

    merī maañ seb ki tarah surḳh aur mīThī thī

    gulāb ki tarah komal aur mo.attar

    vo ḳhushbū ākār thī

    lagī lipTī chhal-kapaT jhuuT

    ye lafz us ne sune to the

    āzmā.e nahīñ the

    dohrā.e nahīñ the

    radio se nizār-qabānī qasīda-e-mutavahashshiya nashr hotā hai

    koī muġhannī kālīdās rītū-samhār sunātā

    to vo phuuT phuuT kar rotī

    maiñ pūchhtā rone kāran

    to kahtī

    devtāoñ in zabānoñ meñ

    jaadū asar hai

    in meñ saty dishā

    aur sirāt-al-mustaqīm nishān-dahī hai

    maiñ bār-hā us sādgī par ro detā

    merā baap dāñtoñ meñ dynamite dabā.e

    uñgliyoñ ke poroñ meñ tezāb ke ban ugātā hai

    aur piile murda mariyal kāġhaz ke chehre par

    lahū ke phuul kāḌhtā hai

    ḳhud se alag ho kar ḳhud par miT kar

    apnī jā.edād se pyaar karne lagtā hai

    vo aaTh jahāzoñ mālik hai

    jo us ne vaqt ke samundar ke pāniyoñ par utaar diye haiñ

    aur ḳhud ek control-rōm meñ baiTh kar

    un harkāt ta.ayyun kartā hai

    maiñ bhī us ek jahāz huuñ

    patthar chabānā, palkoñ jhāḌiyoñ par sidra ugānā

    sub.h-savere masjid ke darvāze par ḳhudā se

    āñkheñ churā kar guzar jaanā

    aur ḳhudā ke mahbūb par farefta ho kar

    ḳhudā se raqābat baañT lenā

    us adā ban gayā hai

    maiñ surḳh mīThe seb aur tezāb ke isī

    imtizāj paidā-vār huuñ

    maiñ kaun huuñ

    nibu pahaDi ke daman mein

    ek ganw hai

    'madraban'

    jahan mein paida hua tha

    (mera nam mohamad-faruq hai)

    meri man seb ki tarah surKH aur miThi thi

    gulab ki tarah komal aur moattar

    wo KHushbu ka aakar thi

    lagi lipTi chhal-kapaT jhuT

    ye lafz us ne sune to the

    aazmae nahin the

    dohrae nahin the

    radio se nizar-qabani ka qasida-e-mutawahashshiya nashr hota hai

    ya koi mughanni kalidas ka ritu-samhaar sunata

    to wo phuT phuT kar roti

    main puchhta rone ka karan

    to kahti

    dewtaon ki in zabanon mein

    jadu ka asar hai

    in mein saty ki disha

    aur siraat-al-mustaqim ki nishan-dahi hai

    main bar-ha us ki sadgi par ro deta

    mera bap danton mein dynamite dabae

    ungliyon ke poron mein tezab ke ban ugata hai

    aur pile murda mariyal kaghaz ke chehre par

    lahu ke phul kaDhta hai

    KHud se alag ho kar KHud par miT kar

    apni jaedad se pyar karne lagta hai

    wo aaTh jahazon ka malik hai

    jo us ne waqt ke samundar ke paniyon par utar diye hain

    aur KHud ek control-room mein baiTh kar

    un ki harkat ka tayyun karta hai

    main bhi us ka ek jahaz hun

    patthar chabana, palkon ki jhaDiyon par sidra ugana

    subh-sawere masjid ke darwaze par KHuda se

    aankhen chura kar guzar jaana

    aur KHuda ke mahbub par farefta ho kar

    KHuda se raqabat banT lena

    us ki ada ban gaya hai

    main surKH miThe seb aur tezab ke isi

    imtizaj ki paida-war hun

    main kaun hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now