Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tha KHwab mein KHayal ko tujhse muamla

Salahuddin Parvez

tha KHwab mein KHayal ko tujhse muamla

Salahuddin Parvez

MORE BYSalahuddin Parvez

    āñdhiyāñ hotī haiñ kyaa, tūfān kahte haiñ kise!

    pahle to miTTī ik hastī banā, phir mujh se pūchhā

    bārisheñ hotī haiñ kyaa, sailāb kahte haiñ kise!

    pahle to kāġhaz ik kashtī banā, phir mujh se pūchhā

    pūchhtā kyā hai batā! ai ḳhvāb, mere ḳhayāl se

    TuuT jaatī haiñ merī nīndeñ, tire siñgār se

    dekh kar ye jazba be-iḳhtiyārī, mehrbāñ

    sar se tak ātish-e-ḳhāmosh ho jaatā huuñ maiñ

    ''maiñ'' nahīñ rahtā huuñ ''maiñ''

    āġhosh ho jaatā huuñ ''maiñ''

    dekhtā huuñ jhāñk kar dil meñ, jahāñ parde meñ gum

    ḳhūbsūrat tirī tasvīr nāmūs thā

    ab vahāñ par vo nahīñ, nāmūs bhī koī nahīñ

    haañ magar hai vahāñ sar-tā-qadam

    fānūs meñ

    pairahan ik ik utāre rahī hai

    kyā kahūñ!

    kaise kahūñ!

    har raaz uTh jaane ke ba.ad

    maiñ to mushkil ho gayā āsāñ hai

    ā.īne ke sāmne baat kyā

    haañ pas-e-ā.īna bhī uryāñ hai

    jin meñ the tere zard aur zamurrad ke charāġh

    jin meñ the almās tere aur almāsoñ ke daaġh

    jin meñ thā ik hauz terā aur us meñ phuul baaġh

    jo utāre haiñ badan se be-badan, kyā chuum luuñ!

    naqsh-e-fariyādī se tere pairahan, kyā chuum luuñ!

    aandhiyan hoti hain kya, tufan kahte hain kise!

    pahle to miTTi ki ek hasti bana, phir mujh se puchha

    barishen hoti hain kya, sailab kahte hain kise!

    pahle to kaghaz ki ek kashti bana, phir mujh se puchha

    puchhta kya hai bata! ai KHwab, mere KHayal se

    TuT jati hain meri ninden, tere singar se

    dekh kar ye jazba be-iKHtiyari, mehrban

    sar se pa tak aatish-e-KHamosh ho jata hun main

    main nahin rahta hun main

    aaghosh ho jata hun main

    dekhta hun jhank kar dil mein, jahan parde mein gum

    KHubsurat si teri taswir ka namus tha

    ab wahan par wo nahin, namus bhi koi nahin

    han magar tu hai wahan sar-ta-qadam

    fanus mein

    pairahan ek ek utare ja rahi hai

    kya kahun!

    kaise kahun!

    har raaz uTh jaane ke baad

    main to mushkil ho gaya aasan hai tu

    aaine ke samne ki baat kya

    han pas-e-aina bhi uryan hai tu

    jin mein the tere zard aur zamurrad ke charagh

    jin mein the almas tere aur almason ke dagh

    jin mein tha ek hauz tera aur us mein phul bagh

    jo utare hain badan se be-badan, kya chum lun!

    naqsh-e-fariyaadi se tere pairahan, kya chum lun!

    Source:

    Jalta Hai Badan (Pg. 127)

    • Author: Zahid Hasan
      • Edition: 2002
      • Publisher: Apnaidara, Lahore
      • Year of Publication: 2002
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now