Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

thak jaogi

Mohsin Naqvi

thak jaogi

Mohsin Naqvi

MORE BYMohsin Naqvi

  pāgal āñkhoñ vaalī laḌkī

  itne mahñge ḳhvāb na dekho

  thak jāogī

  kāñch se nāzuk ḳhvāb tumhāre

  TuuT ga.e to

  pachhtāogī

  soch saarā ujlā kundan

  zabt raakh meñ ghul jā.egā

  kachche-pakke rishtoñ ḳhushbū resham

  khul jā.egā

  tum kyā jaano

  ḳhvāb safar dhuup ke teshe

  ḳhvāb adhūrī raat dozaḳh

  ḳhvāb ḳhayāloñ pachhtāvā

  ḳhvāboñ manzil rusvā.ī

  ḳhvāboñ hāsil tanhā.ī

  tum kyā jaano

  mahñge ḳhvāb ḳharīdnā hoñ to

  āñkheñ bechnā paḌtī haiñ

  rishte bhūlnā paḌte haiñ

  andeshoñ ret na phāñkoñ

  pyaas oT sarāb na dekho

  itne mahñge ḳhvāb na dekho

  thak jāogī

  pagal aankhon wali laDki

  itne mahnge KHwab na dekho

  thak jaogi

  kanch se nazuk KHwab tumhaare

  TuT gae to

  pachhtaogi

  soch ka sara ujla kundan

  zabt ki rakh mein ghul jaega

  kachche-pakke rishton ki KHushbu ka resham

  khul jaega

  tum kya jaano

  KHwab safar ki dhup ke teshe

  KHwab adhuri raat ka dozaKH

  KHwab KHayalon ka pachhtawa

  KHwabon ki manzil ruswai

  KHwabon ka hasil tanhai

  tum kya jaano

  mahnge KHwab KHaridna hon to

  aankhen bechna paDti hain ya

  rishte bhulna paDte hain

  andeshon ki ret na phankon

  pyas ki oT sarab na dekho

  itne mahnge KHwab na dekho

  thak jaogi

  RECITATIONS

  Javed Naseem

  Javed Naseem,

  Javed Naseem

  MOHSIN NAQVI 5 Javed Naseem

  Source :
  • Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 453)
  • Author : Munavvar Jameel
  • Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
  • Edition : 2000
  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now