Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tham gai tal anfas ki

Abdul Wahab Sukhan

tham gai tal anfas ki

Abdul Wahab Sukhan

MORE BYAbdul Wahab Sukhan

    vo ek fankār thā

    jis āvāz barsoñ talak

    mohabbat ke naġhme sunātī rahī

    amn ke giit gaatī rahī

    jis āvāz se sur mukammal hue

    jis āvāz ne lai ko baḳhshī jilā

    us āvāz paiġhām-e-sub.h-e-masarrat bhī thī

    us āvāz ik dard-e-shām-e-ġharībāñ bhī thī

    vo ek fankār thā

    vaqt ke saaz par rahā thā ġhazal

    muskurāne lagī jis ko sun ke ajal

    tham ga.ī taal anfās

    dam-ba-ḳhud saare sur rah ga.e

    jhilmilāne lagī sham.a-e-lutf-o-surūr

    ahl-e-mahfil sabhī nauha-ḳhvāñ ho ga.e

    aur vo mutrib-e-dil-barāñ

    sab ko mahv-e-alam chhoḌ kar

    so gayā dā.imī niiñd narm āġhosh meñ

    wo ek fankar tha

    jis ki aawaz barson talak

    mohabbat ke naghme sunati rahi

    amn ke git gati rahi

    jis ki aawaz se sur mukammal hue

    jis ki aawaz ne lai ko baKHshi jila

    us ki aawaz paigham-e-subh-e-masarrat bhi thi

    us ki aawaz ek dard-e-sham-e-ghariban bhi thi

    wo ek fankar tha

    waqt ke saz par ga raha tha ghazal

    muskurane lagi jis ko sun ke ajal

    tham gai tal anfas ki

    dam-ba-KHud sare sur rah gae

    jhilmilane lagi shama-e-lutf-o-surur

    ahl-e-mahfil sabhi nauha-KHwan ho gae

    aur wo mutrib-e-dil-baran

    sab ko mahw-e-alam chhoD kar

    so gaya daimi nind ki narm aaghosh mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now