Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

third-diwision

Syed Mohammad Jafri

third-diwision

Syed Mohammad Jafri

MORE BYSyed Mohammad Jafri

    jiine kashmakash meñ na be-kār Dāliye

    maiñ third-divisioner huuñ mujhe maar Dāliye

    phir naam apnā qaum me.amār Dāliye

    degrē ko merī lījiye āchār Dāliye

    kuchh qaum bhalā ho to kuchh aap bhalā

    merā bhalā ho kuchh mire maañ baap bhalā

    jaatā hai jis jagah bhī koī third-divisioner

    kahte haiñ sab ki aa gayā kis liye idhar

    chal yahāñ se terī na hogī yahāñ guzar

    lauh-e-jahāñ pe harf-e-mukarrar huuñ maiñ magar

    ''yā-rab zamāna mujh ko miTātā hai kis liye''

    har shaḳhs mujh ko aañkh dikhātā hai kis liye

    maiñ paas ho gayā huuñ magar phir bhī fail huuñ

    ta.alīm ke idāroñ ke hāthoñ meñ khel huuñ

    jis nishāna jaa.e ḳhatā vo ġhulail huuñ

    maiñ ḳhaak meñ milā huā miTTī tel huuñ

    aur university bhī nahīñ hai refinery

    sūrat bhī tasfiye nahīñ koī zāhirī

    aḳhbār maiñ ne dekhā to mujh par huā ayaañ

    hote haiñ paas vo bhī na deñ jo ki imtihāñ

    ya.anī ki honorary bhī miltī haiñ degrēyāñ

    maiñ jis zamīñ pe pahuñchā vahīñ paayā āsmāñ

    degrē hai ik gunāhoñ tahrīr mere saath

    gar ho sake to maañg luuñ ik umr ko udhār

    aur imtihān jis nahīñ koī e'tibār

    us imtihāñ baazī lagā.ūñgā baar baar

    kahte haiñ log is ko ye machhlī hai shikār

    ye imtihān machhlī phañsāne jaal hai

    ''ālam tamām halqa-e-dām-e-ḳhayāl hai''

    jine ki kashmakash mein na be-kar Daliye

    main third-diwisioner hun mujhe mar Daliye

    phir nam apna qaum ka meamar Daliye

    degree ko meri lijiye aachaar Daliye

    kuchh qaum ka bhala ho to kuchh aap ka bhala

    mera bhala ho kuchh mere man bap ka bhala

    jata hai jis jagah bhi koi third-diwisioner

    kahte hain sab ki aa gaya tu kis liye idhar

    tu chal yahan se teri na hogi yahan guzar

    lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar hun main magar

    ya-rab zamana mujh ko miTata hai kis liye

    har shaKHs mujh ko aankh dikhata hai kis liye

    main pas ho gaya hun magar phir bhi fail hun

    talim ke idaron ke hathon mein khel hun

    jis ka nishana jae KHata wo ghulail hun

    main KHak mein mila hua miTTi ka tel hun

    aur uniwersity bhi nahin hai refinery

    surat bhi tasfiye ki nahin koi zahiri

    aKHbar main ne dekha to mujh par hua ayan

    hote hain pas wo bhi na den jo ki imtihan

    yani ki honorary bhi milti hain degreeyan

    main jis zamin pe pahuncha wahin paya aasman

    degree hai ek gunahon ki tahrir mere sath

    gar ho sake to mang lun ek umr ko udhaar

    aur imtihan jis ka nahin koi e'tibar

    us imtihan ki bazi lagaunga bar bar

    kahte hain log is ko ye machhli ka hai shikar

    ye imtihan machhli phansane ka jal hai

    aalam tamam halqa-e-dam-e-KHayal hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now