tin baaten
bāteñ tiin kabhī mat karnā
har pal tum qahhār se Darnā
jhuuT kī 'ādat mat apnānā
aag se apnā aap bachānā
jhuuT ko jaano ek halākat
haq-goī hai ek sa'ādat
vā'da kar ke bhuul na jaanā
mahshar ke din phal tum paanā
karnā mat tum kabhī ḳhayānat
hogī ye jannat kī zamānat
diin ke har ik hukm ko maano
apnā farz sadā pahchāno
baaten tin kabhi mat karna
har pal tum qahhaar se Darna
jhuT ki 'adat mat apnana
aag se apna aap bachana
jhuT ko jaano ek halakat
haq-goi hai ek sa'adat
wa'da kar ke bhul na jaana
mahshar ke din phal tum pana
karna mat tum kabhi KHayanat
hogi ye jannat ki zamanat
din ke har ek hukm ko mano
apna farz sada pahchano
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.