Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tin shamon ki ek sham

Shamsur Rahman Faruqi

tin shamon ki ek sham

Shamsur Rahman Faruqi

MORE BYShamsur Rahman Faruqi

    ye surma.ī shaam

    ragoñ meñ jis dauḌtā hai ḳhuuñ shafaq ke lāla-zār

    kisī hasīna utārī oḌhnī tarah

    malgajī shaam

    jo lamha lamha ḳhāmushī ke band asiir hai

    ye āsmāñ samt muñh uThā ke kis ko yaad kartī hai

    ye misl-e-dāġh lāla-e-chaman

    siyāh āñkhoñ meñ jo āñsuoñ nuur bhartī hai

    to kyā use bhī hai ḳhabar ki āñsuoñ raushnī

    charāġh-e-roz-o-shab se shoḳh-tar

    hai rañg o nuur meñ

    ye dhīre dhīre uTh ke āsmāñ

    pe nasha tarah se chhā.ī jaatī hai

    ishāra kartī hai

    taare raushnī samt khiñch ke aa.e jaate haiñ

    siyāhiyoñ meñ surḳhiyoñ

    siyāhiyoñ meñ raushnī

    ye hujūm dekhnā

    to uñgliyoñ se paañv kamar talak

    kamar se tā-ba-rū-e-ambarīñ

    na jaane sard kyuuñ hai shaam

    ye tujh se kis ne kah diyā ki dāman-e-chaman

    meñ āftāb ko

    zamīñ ne dafn kar diyā

    ye surmai si sham

    ragon mein jis ki dauDta hai KHun shafaq ke lala-zar ka

    kisi hasina ki utari oDhni ki tarah

    malgaji si sham

    jo lamha lamha KHamushi ke band ki asir hai

    ye aasman ki samt munh uTha ke kis ko yaad karti hai

    ye misl-e-dagh lala-e-chaman

    siyah aankhon mein jo aansuon ka nur bharti hai

    to kya use bhi hai KHabar ki aansuon ki raushni

    charagh-e-roz-o-shab se shoKH-tar

    hai rang o nur mein

    ye dhire dhire uTh ke aasman

    pe nasha ki tarah se chhai jati hai

    ishaara karti hai tu

    tare raushni ki samt khinch ke aae jate hain

    siyahiyon mein surKHiyon

    siyahiyon mein raushni

    ka ye hujum dekhna

    to ungliyon se panw ki kamar talak

    kamar se ta-ba-ru-e-ambarin

    na jaane sard kyun hai sham

    ye tujh se kis ne kah diya ki daman-e-chaman

    mein aaftab ko

    zamin ne dafn kar diya

    Source:

    Ganj e Sokhta (Pg. 41)

    • Author: Shamsurrahman Faroqui
      • Edition: 1969
      • Publisher: Shab Khoon Kitab Ghar, Alahabad
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now