Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tirgi

MORE BYSaddam Husain Muzmar

    maiñ jab bechain hotā huuñ

    to ye ehsās hotā hai

    ki shāyad tum bhī jān-e-jāñ

    bahut thak haar kar shāyad

    achānak ruuTh kar ḳhud se

    binā soche binā samjhe

    kahīñ sunsān jangal meñ

    pareshāñ dahr se aa kar

    kisī bargad ke saa.e meñ

    akele aan baiThe ho

    mujhe tum yaad karte ho

    main jab bechain hota hun

    to ye ehsas hota hai

    ki shayad tum bhi jaan-e-jaan

    bahut thak haar kar shayad

    achanak ruTh kar KHud se

    bina soche bina samjhe

    kahin sunsan jangal mein

    pareshan dahr se aa kar

    kisi bargad ke sae mein

    akele aan baiThe ho

    mujhe tum yaad karte ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now