tisri nasl
mirī maañ mujh se kahtī thī
dopaTTa Thiik se oḌho
zarā jhuk kar chalo beTī
koī ādāb-e-mahfil kā salīqa hī nahīñ tum ko
aur ab maiñ apnī beTī se ye kahtī huuñ
are chanda
zarā se Dhang ke kapḌe nikālo
vahāñ par jānñe vaalā bhī mil saktā hai koī
meri man mujh se kahti thi
dopaTTa Thik se oDho
zara jhuk kar chalo beTi
koi aadab-e-mahfil ka saliqa hi nahin tum ko
aur ab main apni beTi se ye kahti hun
are chanda
zara se Dhang ke kapDe nikalo
wahan par jaanne wala bhi mil sakta hai koi
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 154)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.